Tuesday, August 17, 2021

Potassium Ki Kami Se Kya Hota Hai? Alamat

Agar aap jan-na chahte hein ke Potassium ki kami se kya hota hai, to yeh post mukammal padhiye. Hamare jism mein maujood har khulye ko kaam karne keliye Potassium aur maadni namkiyaat ki aik khas miqdar ki zaroorat hoti hei. Agar yeh matlooba miqdar se kam milein to jism mein is maadni juz ki miqdar kam ho jaati hei.

 

Potassium Ki Kami Se Kya Hota Hai? Alamat Yeh Kyun Zaroori Hai

Duniya bhar mein beshumar log khasoosan khwateen har saal Potassium ki kami se paida hone wali beemariyo ki waja se halaak ho jaate hein. Yeh naa sirf hamare blood pressure aur dil ki dhadkan ko control mein rakhta hei, balke yeh hamare dil, dimagh aur pattho ko kaam karne mein bhi madad karta hei.


Janiye Potassium ki kami ki alamat


Jab hamare jism mein Potassium ka tanasub kam ho jaye to iski alamat mein jismani thakan, Pattho ki kamzori, hadiyo mein Calcium ki kami, Gurdo mein pathri, Pait mein sozish, ishaal ke khaatme mein taakheer aur Qabz ki shikayat shamil hein. Iske ilawa matli ki kaifiyat mehsoos hone lagti hai. Paseena ziyada aane lagta hei. In sab mein se koi aik alamat zahir ho sakti hei.


Jism mein Potassium ki kami se kya hota hei?


Jab jism mein is maadni juz ki kami ho jaye, to is se mundarja zail shikayaat paida ho sakti hein.


1- Jismani kamzori aur thakawat

Potassium ki badolat patthe apne munasib size mein rehte hein. Kami ki soorat mein pattho ki contraction mutasir hoti hei jo dard ka bayis banti hei.

 

Pattho ke andar aik khas qism ke khulye hote hein jo Dimagh ko signals send karte rehte hein. Potassium ke baghair yeh khulye sahi tareeqe se kaam nahi kar sakte. Jabke khurak se ghizayiat hasil karne ki salahiyat bhi kam ho jati hei. Jis se jism mein kamzori aur musalsal thakawat mehsoos hone lagti hei.

 

Agar aap poori neend lete hein aur phir bhi ziyada kaam kiye baghair thakawat mehsoos hoti hei, aur aksar barqarar rehti hei to iski bunyadi waja Potassium ki kami ho sakti hei.


2- High blood pressure ka masla

Potassium ke kam ho jaane se jism mein Sodium ki miqdar mein izafa ho jata hei. Aur khoon ki naaliyo par dabao badh jata hei. Jis se High blood pressure mein izafa ho jaata hei. Jiska dil par bura asar padta hei jo ke amraz-e-qalb ki waja bhi ban sakta hei.

 

Lehaza jab bhi aisi soorate haal ho jaye, to junk food aur dabba band ashiya se hamehsa parhaiz kejiye. Kyun ke in mein Sodium ki kaafi ziyada miqdar payi jaati hei.


Yeh bhi padhiye: Pregnancy me Anjeer khane ke fayde


3- Dil ki dhadkan mein adam tawazan

Potassium khoon ki sharyaano ko sahi tareeqe se kaam karne mein madad karta hei. Iski miqdar mein kami se dauran-e-khoon mutasir hota hei. Jabke yeh hamare dil ki dhadkan ko mutwazan rakhne mein bhi madad karta hei. Iski kami se dil ki dhadkan mein hone wali kami maut ka bayis bhi ban sakti hei.

 

Aksar logo mein kabhi kabhi dil ki dhadkan achanak taiz ya ahista ho jati hei. Agar chay is ka taaluq anxiety aur zehni dabao se hota hei. Lekin iski kuch aur wujuhaat bhi hoti hein. Jin mein se aik ehem waja Potassium ki kami bhi hei.


4- Zehni sehat ki kharabi

Potassium aik aisa madni juz hei jo jism ki naqlo harkat se mutalliqa signals dimagh ko muntaqil karta hei. Jab Potassium ki miqdar mein kami ho jati hei to yeh signals Dimagh tak nahi pohanch paate. Aur dimaghi tanao paida ho jata hei. Is dimaghi tanao ka direct asar hamari zehni sehat par padta hei. Aik research ke mutabiq Depression ke ziyada tar mareezo mein paotassium ki satah kam note ki gai hei.


5- Nizam-e-inhizam mein kharabi

Potassium haazme keliye bohat mufeed hei. Kyun ke yeh nizam-e-inhizam mein maujood khulyo ko dimagh ko signals send karne mein madad karta hei.

 

Potassium ke kam ho jaane se in signals mein bhi kami ho jati hei. Aur yun khurak hazam karne ke amal mein susti aa jati hei. Jis se pait aur Aanto ke pattho ka kaam mutasir hota hei. Aur haazma theek se kaam nahi kar pata. Jabke metabolism bhi kharab ho jata hei. Is waja se Qabz, Tezabiyat aur pait dard jese masayil paida ho jaate hein.


6- Hadiyo ke masayil

Potassium ki kami ki waja se hadiyo mein bhi dard mehsoos hone lagta hei. Yeh madni juz hadiyo ke darmiyan Uric acid jama hone se rokta hei. Jo ke Ganthia aur Osteoporosis ki waja hota hei.


7- Paresthesia

Is chemical ki kami jism mein larzish ka sabab bhi ban sakti hei. Is kefiyat ko Paresthesia kaha jata hei. Yeh shikayat hatho, baazuo aur pairo mein paida ho sakti hei.

 

Janiye Alsi ke fayde aur istemal karne ka tarika


8- Insulin ki miqdar mein kami

Aik research ke mutabiq Potassium ki kami se Insulin ki pedawar mein kami aa jati hei. Jiski waja se jism mein Sugar ki miqdar badhne lagti hei.


9- Saans ki tangi

Yeh chemical hamare Lungs ko phoolne aur sukadne ke signals send karne mein bhi madad karta hei. Lehaza iski kami se yeh signals bhi kamzor pad jate hein. Aur yun Lungs ke phoolne aur sukadne ka amal mutasir hota hei. Jis se saans lene mein mushkil hoti hei. Jabke saansein choti bhi ho sakti hein.


10- Mood ki tabdeeli

Is maadni juz ki kami mood ko tabdeel kar sakti hei. Jab bacho ka mood kharab ho to iski waja un mein Potassium ki kami bhi ho sakti hei.

Yeh thay woh sab masayil jo Potassium ke kam hone se hote hain. Lekin yeh bhi yaad rakhiye ke agar khoon mein Potassium ki miqdar bohat ziyada kam ho jaye to yeh medical emergency kehlati hei.

 

Is soorat mein heart attack ka bohat ziyada imkan hota hei. Iske ilawa Hypokalemia ka khatra bhi badh jaata hei. Lehaza agar aap sehatmand rehna chahte hein, to apni khurak mein Potassium ko bilkul bhi kam hone mat dejiye.


Potassium yomia kitni miqdar mein lena zaroori hei?


Zail mein har umar ke logo keliye Potassium ki yomia miqdar darj ki gai hei.


6 months tak ke bacho keliye           400 mg
7 se 12 months tak ke bacho keliye       860 mg
1 se 3 saal tak ke bacho keliye         2000 mg
4 se 8 saal tak ke bacho keliye         2300 mg
9 se 13 saal tak ke ladko keliye        2500 mg
9 se 13 saal tak ki ladkiyo keliye      2300 mg
14 se 18 saal tak ke ladko keliye      3000 mg
14 se 18 saal tak ki ladkiyo keliye    2300 mg
19 baras aur us se ziyada umar ke mardo keliye       3400 mg
19 baras aur us se ziyada umar ki khwateen keliye        2600 mg
Jabke pregnant khwateen keliye iski zaroorat        2600 se 2900 mg tak hoti hei.


Potassium se bharpoor ghizayen, yeh kin kin cheezon mein hota hai?


Ab baat karte hein un ghizao ki jin mein yeh wafir miqdar mein paya jaata hei. Hamare jism ko phalo aur sabziyo se Potassium hasil hota hei. Khas taur par Kela, Chuqandar ke pattay, Aalu, Shakar Qandi, Sangtra, Akhrot, Tamatar, Saag, Dahi, Doodh, Gosht (khasoosan Salmon fish) mein yeh wafir miqdar mein paaya jaata hei. Lehaza in ghizao ka istemal apna mamool bana lejiye.


Hamein umeed hei ke is mazmoon 'Potassium ki kami se kya hota hai' se aapko mufeed maloomat hasil hui hongi.

 

Potassium Ki Kami Se Kya Hota Hai?


Related Posts

1 Comments:

September 3, 2021 at 3:42 PM delete

Good informstion hen bht gud treatment bi dia h

Reply
avatar