Pait Dard Ka Fori Ilaj Gharelu Nuskhe


Pait Dard Ka Fori Ilaj | Pet Aur Gas Ke Liye Gharelu Nuskhe
Pait dard ka fori ilaj maloom karne keliye yeh post padhiye. Insha ALLAH aaj ke is article mein ham aapko Pait mein dard ke ilaj ke liye kuch aasan gharelu nuskhe batayen ge.
 
Pait ke dard ki bohat si wujuhaat ho sakti hein. Jin mein Mayde ya nizam-e-inhizam ki kharabi, khana theek tarah se hazam na hona, Qabz ya pakhana ka theek se na aana, gastric problem, hawa ka kharij na hona, junk food aur taiz mirch masalon waali ghiza ka ziyada istemal shamil hein.



Aksar log dard ko khatam karne ke liye angrezi adwiyat ka hi istemal karte hein. Lekin aap pait mein dard ka ilaj gharelu nuskho se bhi aasani se kar sakte hein. Aur aaj ham aapko is dard ka fori ilaj karne ke liye 7 aise hi gharelu nuskhe batayen ge. Yeh gharelu totkay insha ALLAH aapko pait ke dard ke fauri ilaj mein madad dein ge. In nuskho ya totko ke liye jo ashiya darkar hon gi, woh aam taur par aapko apne ghar ke kitchen se hi mil jayen gi.


Zaroor padhiye: Dengue bukhar ki alamat ilaj aur bachne ke tarike

 

Pait dard ka ilaj karne ke liye 7 aasan gharelu nuskhe


1- Pait dard ke fori ilaj keliye Shehed ka istemal behtreen hei. ALLAH taala Quran-e-paak mein irshad farmate hein: 

Is (Shehed) mein logon keliye shifa hei. Al Nahal 69. 

Aam taur par hakeem hazraat bhi pait ki beemariyo mein fori aaram ke liye Shehed ke sath Darchini ke istemal ko ahmiat dete hein. Aap Darchini ko grind ker ke rakh lejiye. Jab bhi kabhi pait mein dard ki shikayat ho, to aik chamach Shehed mein thoda sa darchini ka powder achi tarah se mix kar ke chaat lejiye. Insha ALLAH aap ko dard mein fori aaram aa jaye gaa. Is nuskhe ke baqayda istemal se gas ki purani shikayat bhi door ho jati hei.


2- Aik glass neem garam paani mein aik khane ka chamach Saib ka Sirka aur aik chamach Shehed mila kar pee lejiye. Insha ALLAh is se aapko pait ke dard mein fori aaram aa jaye ga.


3- 4 gram (yani taqreeban 1 chamach se zara kam) khushk Podina lejiye. Is mein aadha chamach Saunf aur aadha chamach Ajwain milaiye. Iske baad is mein aik chutki Kala Namak aur 2 ratti Hing mila dejiye. Ab in sab ajza ko grinder mein pees kar chooran bana lejiye. Is chooran ko garam pani ke sath istemal karne se insha ALLAH pait ke dard mein fori aaram aa jaye ga.


Janiye: Bawaseer ka ilaj or parhez


4- Aik chamach Ajwain aur 1.5 chamach zeera le kar grinder mein pees kar aik glass pani mein hal kar lejiye. Ab is mein aadhe Lemon ka rus aur aik chutki Kala Namak mila kar pee lejiye. Yeh nuskha pait ke dard ke ilawa badhazmi aur gas hone ki soorat mein bhi mufeed hei.


5- 2 daane Munakka ke le kar iske sath thodi si Hing mila kar khaiye. Is se bhi pait dard mein afaqa hota hei.

6- Lemon ka rus aur Adrak ka rus mix kar lejiye. Aur aik chamach ki miqdar le kar aahista aahista chaatne se bhi pait ka dard door karne mein madad milti hei.

7- Aadha chamach pisi hui Mulethi aur aik chamach pisi hui Saunf le kar aik glass paani mein mix kar ke pee lejiye. Yeh bhi pait dard ke liye aik kaar amad totka hei.

Yeh thay woh gharelu nuskhe jinko aap pait dard ka fori ilaj karne keliye istemal kar sakte hein. Agar aap koi aur aasan nuskha jaante hein, to brahe meherbani comment kar ke zaroor bataiye.


Pait Dard Ka Fori Ilaj | Pet Aur Gas Ke Liye Gharelu Nuskhe


Post a Comment

Previous Post Next Post