Agar aap apni sehat ka khayal rakhte hain to yeh bhi jaaniye ke BMI kya hota hai? Aapka BMI score kitna hai aur aap yeh kaise nikal sakte hain? Achi sehat ko qayim rakhne ke liye yeh jaanna bohat ehem hai. Aaj ham aapko BMI nikalne ka bohat hi aasan tarika bataye ge.
Agar aap apni sehat ka khayal rakhte hain to aapke liye yeh jaan lena bhi zaroori hai ke aapka BMI kiya hai. Apni sehat ko qayim rakhne aur motapay ya kamzori se bachne ke liye aik munasib diet plan tarteeb dena bohat zaroori hota hai. Aur yeh diet plan BMI maloom kiye baghair tarteeb dena mumkin nahi.
BMI ya Body mass Index darasal jismani charbi ya fats maloom karne ka aik paimana hai. Yeh baaligh mard o khwateen ke jismani wazan aur qad ki lambayi ki bunyad par maloom kiya jata hai.
Aur yeh maloom kiya jata hai ke aaya aik shakhs kamzori ya motapay ka shikar hai ya nahi. Kya us ka wazan normal hai ya mamool se kam ya ziyada hai. Yaa phir bohat ziyada hai yani woh Motape ka shikar hai.
Aik mufeed post: Potassium Ki Kami Se Kya Hota Hai?
BMI maloom karne ka sab se aasan formula aaj ham aapko batayen ge aur woh kuch yun hai:
BMI Formula
Wazan (kg) / Qad ki oonchayi (cm) / Qad ki oonchayi (cm) x 10,000
Yaani ke aap apne wazan ko Kilogram main maapiye aur apne qad ko Centimeters main naapiye. Uske baad wazan ko qad se taqseem kejiye. Aur jo haasil aaye usko dobara qad se taqseem kar dejiye. Ab jo haasil aaye usko das hazar se zarab de dejiye. Aur yun jo score haasil ho gaa wo aapka BMI ho ga.
Misal ke taur par agar Nasir ka wazan 55 KG hai aur uska qad 175 cm taweel hai to uska BMI aise maloom karain ge.
55 taqseem 175 = 0.314
0.314 taqseem 175= .00179
.00179 zarab 10000= 17.9
Yani ke nasir ka BMI score 17.9 hai.
Jab aap is formule se apna BMI maloom kar lain. To phir yeh jaan-ne ke liye ke aapka wazan mamool ke mutabiq hai ya nahi uske liye kya karna ho ga? Woh bhi ham aapko batate hain to suniye:
Agar aapka BMI score 18.5 se kam aaye to iska matlab aapka wazan mamool se kam hai.
Agar BMI score 18.5 se le kar 24.9 tak aaye to aapka wazan normal hai.
Agar BMI score 25 se le kar 29.9 tak ho to aapka wazan mamool se ziyada hai. Aur aapko ehtiyat ki zaroorat hai.
Yeh bhi Padhiye: Pait Dard Ka Fori Ilaj
Aur agar aapka BMI 30 ya us se ziyada ho to yeh lamha e fikriya hai. Kyun ke aap motape ka shikar hain, aur aapko apna wazan kam karne ki ashad zaroorat hai.
Aik achi sehat mand zindagi guzarne keliye zaroori hai ke aap ka wazan mamool ke mutabiq ho. Aur iske liye aapko BMI maloom karna ho ga. Aur BMI score maloom karne keliye aap yeh formula zaroor istemal kejiye.
Post a Comment