Benefits of Badam Khane Ke Fayde in Hindi Urdu


Benefits of Badam Khane Ke Fayde in Hindi Urdu

Benefits of Badam ya Badam khane ke fayde jaan-ne ke liye yeh poora article parhiye. Badam apni ghizayi afadiyat ki waja se Khushk Mevon ka Badshah kehlata hei. Ise poori duniya mein bari raghbat se khaya jata hei. Yeh bachon, jawanon aur boorhon ke liye yaksan mufeed hei. 

Badam mein woh sab Anasir waafir miqdar mein paye jaate hein jo insani Jism ke liye zaroori hote hein. Yeh aik aisi aala darja ki ghiza hei jis se jism aur Dimagh dono ko fayda haasil hota hei. Yeh bohat si beemariyo ka ilaj bil Ghiza hei.

Badam ke Ghizai ajza


Badam ke 100 Gram maghz mein Protein 20.8%, Madniyat 2.9%, Pani 5.2%, Fats 58.9%, Carbohydrates 10.5% aur Fiber 1.7% hota hei. Jabke maadni ajza mein Phosphorus 490 mg, Iron 4.5 mg, Calcium 230 mg, Nayasin 4.4 mg aur Vitamin B complex ki kuch miqdar shamil hoti hei. Is mein payi jaane waali chiknayi aik faydamand chiknayi qarar di jaati hei jo sehet ke liye mufeed hoti hei.

Badam se mutalliq kuch aur maloomat


Badam ka mizaj Garam Tar hota hei. Iski 2 iqsam hoti hein, Sheereen aur Talkh. Khane ke liye sirf sheereen qism ka istemal karna chahiye. Talkh qism ko khane se mana kiya jata hei.

Zaroori hei ke mausam ki munasibat se isko sahi tareeqa se istemal kiya jaye. Sardi ke mosam mein log isko aasani se hazam ker lete hein. Garmion ke mosam mein baaz garam mizaj ke logon ko yeh mawafiq nahi aata. Aise log iska istemal Sardai ki soorat mein kar sakte hein.

Isko khaane ka behtreen tarika yeh hei ke isko khoob chaba chaba kar khaya jaye. Taake is mein munh ka Luaab shaamil hota rahe. Is tarah yeh aasani se hazam ho sakta hei.

Benefits of Badam ya Badam Khane Ke Fayde in Hindi


Badam ki tmam khoobiyo ka daaro mdaar Copper, Iron aur Vitamin B1 ke tibbi kirdar par hei. Yeh ajza aapas mein milker twanayi ko munazzam krte hein. Inhi ajza ki waja se Dil, Dimagh, Aasab, Jigar aur hadiyon ki karkrdgi behtr ho jaati hei.
Badam khane se Aasab mazboot hote hein aur jism phalta phoolta hei. Is mein shamil Nishasta aur Protein ki waja se jism ko taqat milti hei. Yeh jism mein Charbi ko barhne nahi deta. Calcium ki waja se Daant aur Hadiyan mazboot ho jati hein. 


Jismani kamzori door kerne ke liye Badam intehayi mufeed hei. Saleh khoon peda kerta hei. Pooray badan ki khushki ko door kerta hei. Agar 12 daane Badam, 12 Gram Kishmish ke sath raat bhar paani mein bhigo ker rakhein aur subha nihar munh achi tarah chaba chaba ker khayen to jismani kamzori door ho gi.

Nazar ki kamzori ke liye aik nuskha bohat ziyada mustamal hei. Rozana raat ko sone se pehle 7 adad Badam, 6 masha Saunf, aur aik tola Misri ko pees ker Garam Doodh ke sath khaiye. Sirf 40 roz tak aisa karne se aap ki Ainak ya to utar jaye gi ya is ka number kam ho jaye ga. Khayal rahe ke sone se pehle is ki khurak lene ke bad paani nahi peena.

Beenai ke liye mufeed honay ke ilawa dimaghi kaam karne walon ke liye yeh aik naimat hei. Is mein hararon yani calories ki miqdar kafi ziada hoti hei.

Aasabi aur Dimaghi kamzori ki waja se agar aap thora sa kaam kar ke thak jaate hein to aise mein Badam ka istemal aap ki khoi hui quwat ko bahaal kar sakta hei.

Badam ke kuch mazeed fayde


Badam ke regular istemal se mardana taaqat mein izafa hota hei. Is maqsad ke liye Badam aur Bhune hue Chane brabar wazan mein le kar rozana chaba kar kha liya krein. Yeh amal Minni mein izafa karne ke ilawa Jinsi quwat ki bahaali mein madadgar saabit ho ga.

Sardi ke mausam mein agar band Nazle ki shikayat ho jaati ho to yeh nuskha use karein. 11 adad Badam le kar aik kapre mein lapait lein aur inko garam bhaap mein rakh dein. Kuch minutes baad nikal kar garm garm khaa kar band kamre mein lait jayen. Sirf chand hi din ke amal se band nazla theek ho jaye ga. Jabke sardiyo mein regular Badam khane se nazla ho ga hi nahi.

Wazan barhaane ke khwahish mand naujwan rozana raat ko 10 badam aur 2 tola sabz Kishmish ko paani mein bhigo kar rakh dein. Subah uth kar badam chheel kar Kishmish ke saath chaba kar kha lein. Aur iske baad aik Glass Doodh pee liya karein. 2 months tak regular aisa karne se wazan bhi barh jaye gaa aur sehet bhi achi ho jaye gi.


Aksar log jab kaafi der kaam karne ke baad achanak uth jaate hein to unka sir chakra jaata hei. Aur aankho ke saamne andhera saa aa jaata hei. Iski waja Dimaghi kamzori hoti hei. Aise logon ko chahiye ke rozana 10 adad Badam khoob chaba chaba kar khaa liya karein.

Jin logon ko Gale mein Balgham ki shikayat hoti hei, aise log agar rozana subah khaali pait 5 daane Badam ke saath 3 daane Kaali Mirch ke mila kar khoob chaba kar kha liya karein, to yeh shikayat door ho jaye gi. Jabke Gale ki kharash ki soorat mein Badam ko namak laga kar khoob achi tarah chaba kar khayen to fayda ho ga.   

Agar Badam ko Anjeer ke sath subha nihar munh khaya jaye to is se Aanton ki ghalazat door ho jati hei. Gharz yeh ke Badam ALLAH Taala ki aik behad qeemti naimat hei.

Badam ka Tail yani Roghan-e-Badam


Badam ka tail bhi nikala jata hei jo ke Qabz kusha hone ke ilawa Khushk khansi, Masana ki kharish aur Aanton ki sozish mein istemal kiya jata hei. Is Tail ko Doodh mein mila kar piya jaye to Aanton ki khushki ko door kar ke Qabz ka khatma karta hei.

Kamar mein dard ke liye raat ko sote waqt kamar par Roghan e Badam ki maalish karwaiye. Jabke khushk kharish ke ilaj ke liye bhi iski maalish mufeed hei.

Agar aik chamcha Roghan-e-Badam ko aik chamcha  Amla ke rus ke saath mila kar rozana sir par masaj kiya jaye to baal girna band ho jaate hein. Neez yeh baalo ko safaid hone se bhi rokta hei.

Agar aapke sir mein dard rehta hei to aik chamcha Badam ke tail mein aik maasha pisi hui Zafran mila dein. Ab isko din mein 2 ya 3 baar kuch dair ke liye soonghiye to dard mein aaram aa jae ga.

Sir par iski maalish karne se naa sirf Baal mazboot hote hein balke achi aur gehri neend aati hei. Garv pati mahelain yani haamila khawateen agar aakhri months mein isko rozana pee liya karein to bache ki wiladat mein aasani hoti hei. 

Iski talkh qism ka tail Cosmetics mein istemal kiya jata hei. Rang gora karne aur Chaaiyan door karne wali careems mein iska istemal kafi ziyada hei. Isi waja se bain al aqwami cosmetics ki market mein Talkh qism ki maang bohat ziyada hei. 

Taraqqi yafta mumalik mein Talkh aur Sheereen iqsam ko alag alag khaiton mein kaasht kiya jata hei. Taake yeh aapus mein mil na jayen. Chunke hamare haan aisa nahi kiya jata, isi waja se yahan har chothi ya panchwi giri talkh nikal aati hei.
Benefits of Badam yahee par khatam nahi ho jaate. Agar aap log kuch aur bhi fayde jaante hein to comments mein beyan zoroor kejiye.

Benefits of Badam Khane Ke Fayde in Hindi Urdu

1 Comments

  1. Jakawat e hiss ke mareez badam istmal kar sakte h kya qki mera wajan bohot kam h kya m badam istmal kr lu par mujhe jakawat e hiss hi problem h plz jawad do

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post