Wednesday, November 20, 2019

Dahi Ke Fayde In Urdu Hindi (Yogurt Benefits)


Dahi Ke Fayde (Yogurt Benefits In Urdu Hindi)
Kya aap Dahi ke fayde jan-na chahte hain? To yeh post mukammal padhiye. Pakistan aur India mein Dahi ka bahut zyada istemal kiya jata hai. Aik andaze ke mutabiq Pakistan aur India mein doodh ki kul pedawar ka aadha hissa Dahi mein tabdeel kar diya jata hai.

Dahi aik aisi ghiza hai jo na sirf istemal karne mein saada hai, balke yeh zyada mehnga bhi nahin hota. Yeh har jagah aasani se dastiyab hota hai.  Kam Calories wali yeh ghiza din ya raat kisi bhi waqt khai jaa sakti hai. Ise aap saada aur khaalis shakal mein bhi kha sakte hain. Iske ilawa mukhtlif sabziyon ya phalon ke saath milakar bhi istemal kar sakte hain.

Yeh aik behtreen ghiza hai jo mayde aur aanton ke marizon ke liye bahut mufeed hai. Mayde ki tezabiat ko door karne ke ilawa jism ki garmi aur sozish ko bhi khatam karta hai.

Dahi (Yogurt) ki ghizaiyat

Aik piyali Dahi yani takriban 250 gram miqdar main 370 milligram Calcium paya jata hai. Jabke isi miqdar main Doodh ke andar 300 milligram Calcium hota hai. Baaligh afraad ko rozana itni miqdar mein Calcium zaroor istemal karna chahiye. 1 cup Yogurt mein 8 gram Protein bhi payi jaati hai. Vitamin B complex ke hasool ke liye bhi Dahi aik behtreen zariya hai. Iske ilawa is main Potassium, Magnesium, Phosphorus aur Zinc bhi paye jate hain.


Tajarbat se sabit hua hai ki aik pao Dahi aadha kilo gosht ke barabar taqat rakhta hai. Kamzor logon ko Dahi ka istemal zaroor karna chahiye. Aur ismein ahista ahista izafa karna chahiye. Ba qaydgi se Dahi istemal karne se jild aur aasab ko sehatmand ajza ki farahmi musalsal jaari rehti hai. Yeh jild ko dhoop ke muzir asraat se bacha kar iski chamak aur mulaymat ko badhata hai.

Dahi khane ke fayde in Urdu Hindi


Dahi khane ke fayde beshumar hain. Yeh ghizai zaruriyat puri karne ke ilawa chehre ki dilkashi badhane mein bhi madadgar hai. American journal of clinical nutrition main 2000 main shaaya hone waali aik report ke mutabik, Dahi jism ke mudafiati nizam ki karkrdgi ko badhane ki salahiyat rakhta hai.

Researches se yeh sabit ho chuka hai ke Dahi sirf khano ki lazzat badhane ke hi kaam nahin aata. Balke ismein chand mufeed bacteria bhi paye jaate hain. Yeh nanhe munne ladne waale bacteria hain jo aapke badan mein bimariyon ke khilaf ladte hain. Hamari aanton mein bohat se mufeed bacteria paye jaate hain. Doodh ke mufeed bacteria Dahi banate hain. Jab Ke Dahi mein maujood ladaaka bacteria to intehai mufeed hain.

Agar aap Vitamin B ki goliyan kharidna chahte hain to ruk jaaiye. Aap paise kharch kiye bagair bhi inse mustafeed ho sakte hain. Bus iske liye aapko rozana Yogurt ko apni ghiza ka hissa banana hoga. Dahi khane ke bad jab aanto mein pohanchta hai to ismein maujud mufeed bacteria Vitamin B complex banate hain. Iske ilawa yeh jism ko Lactic acid bhi mohayya karta hai. Jabke yeh Protein, Calcium aur Iron ke hazam hone ke amal ko bhi tez karta hai.

Antibiotic adwiyaat ka nemul badal


Baaz oqat kisi bimari ke natije mein antibiotic adwiyat ke istemal se jism ka nizam e inhazam bohat mutasir hota hai. Antibiotic adwiyaat mayde mein pohanch kar apna asar dikhati hain. Inki waja se aanton mein paye jaane wale nuksandeh bacteria ke saath saath mufeed bacteria bhi khatm ho jaate hain. Is tarah mayda aur aanton ke nizam ka qudrati tawazan mutasir hota hai.


Agar aisi surat mein Dahi ko baqaydgi se istemal kiya jaye, to usse haazme ki taqat bhi bahal ho jaati hai. Jabke yeh mufeed bacteria ki nasho numa main bhi madad karta hai.

Baaz oqat jab nuqsandeh bacteria aanton mein badh jaate hain to Cancer ka khatra aur zehreelay maade bhi usi hisab se badhne lagte hain. Aisi surat mein Dahi ka istemal masle ka hal sabit hota hai. Dahi nuksandeh bacteria ko maarne ki salahiyat rakhta hai.

Khwateen ke liye aik behtreen ghiza


Dahi khawateen ke liye bohat mufeed sabit ho sakta hai. Yeh bacha daani tak jaane waali naali mein kharabi ko door karta hai aur toleedi aaza ke nizam ko sahi rakhta hai. Aam taur per dauran e hamal mufeed bacteria kaam karna chhod dete hain. Jis ke bayis peshab ke sath jalan aur safed mawad ki shikayat bhi ho sakti hai.

Haamila khwateen, birth control ki goliyan lene wali auraten jinko sugar bhi ho, in khwateen mein infection hone ke imkaan zyada paye jaate hain. Agar kisi khatoon ko yeh marz lahaq ho jaye, to unko apni ghiza mein sirf Dahi ka istemal badha dena chahiye. Kyunke jism mein jo mufeed bacteria maujood hote hain, agar un ki kami ho jaye, to khwateen ke androoni nizam mein yeh infection ho jaata hai. Jab ke Dahi mein is bacteria ki wafar miqdar payi jati hai. Lehaza is infection mein mubtila aurton ko Dahi ka istemal lazmi karna chahiye.


Asia ki khwateen mein Osteoporosis ka marz bohat aam paya jaata hai. Yeh aik mohlik bimari hai. Is marz se nijat ke liye Calcium ke supplement diye jaate hain. Lekin agar masnui tareekon se Calcium hasil karne ki bajaye Calcium ke qudrati zakheere yani Dahi ka istemal kiya jaye to bohat munasib hai.

Dahi (Yogurt) ke kuch mazeed fawaid


Mashriqi mumalik mein Allopathy aur Homeopathy donon tarah ke tariqa ilaaj mein Diarrhoea ke marizon ko Dahi khane ka mashwara diya jata hai.

Dahi khana neend ki kami ka aik achcha ilaaj hai. Be khwabi ke mareez agar zyada miqdar mein Dahi kha liya karen, aur sar par is ki maalish bhi kar liya karen, to unki yeh shikayat jald hi door ho jayegi.

Dahi aik kam calories wali ghiza hai. Lekin agar aap apna zayiqa badhane ke liye flavour wali Dahi ka istemal karte hain to yaad rakhen, is se calories ki miqdar bahut zyada badh jaati hai. Aap yun samajh lain ke agar saada Dahi mein 7 khane ke chammach cheeni mila di jaye, to us se  jitni calories badhti hain, usse bhi zyada calories flavoured Dahi mein payi jaati hain.


Lehaza zaruri hai ke flavoured Dahi ke bajaye saada hi istemal kiya jaye. Iske bajaye yea kiya ja sakta hai ke saada Dahi mein aap apni pasand ke phal baaeek kaat kar ya grinder mein pees kar mila dain. Aur phir istemal karen. Is tarah yeh Calcium, Vitamins aur fibre hasil karne wali aik behtreen ghiza ban Jayegi.

Taza Doodh se bani Dahi mein mufeed bacteria ka tanasub bahut zyada hota Hai. Aap koshish karen ke isko ghar mein hi bana liya karen. Dahi ko hamesha thandi jaga per rakhiye. Agar aapke ghar mein fridge maujud nahin hai, to kisi jaalidar kapde se dhanp kar hawa daar jaga par rakh dejiye. Thandi jaga per rakhne ki ek ehem waja yeh hoti hai ke mufeed bacteria zyada darja hararat mein phal phool nahin sakte.

Is mazmoon yani Dahi ke fayde ka ikhtatam ham is aik jumle se karain ge. Yeh insani jism ke liye chand mufeed tareen ghizao main se aik hai.

Dahi Ke Fayde (Yogurt Benefits In Urdu Hindi)

Related Posts