Pregnancy Me Anjeer Khane Ke Fayde


Pregnancy me Anjeer khane ke fayde janne ke liye yeh article mukammal padhiye. Aaj ham aapko bataenge ke pregnant yani hamila khwateen ko kin wajuhaat ki bina per Anjeer khani chahiye. Aur pregnancy mein Anjeer khane ke kiya fawaid hein.
 

Pregnancy Me Anjeer Khane Ke Fayde

 
 
Agar aap janna chahte hain, ke kya pregnancy me anjeer khana sahi hei? ya Anjeer khane se pregnancy me kya hota hei? to yeh post aakhir tak padhiye.

Jaisa ke ham jaante hein, ke Anjeer zameen per paye jaane wale qadeem tareen phalon mein se ek hei. Aur khushk haalat mein saara saal dastyab hota hei. Yeh bohat si sehat bakhsh khasoosiat ka haamil hota hei. Anjeer ke fayde tafseel se janne ke liye aap hamari yeh post padh sakte hein.

Pyare dosto! pregnancy aik aisa marhala hota hei, jis mein khane peene main bohat ehtiat ki zaroorat hoti hei. Isi waja se pregnancy ke dauran khurak ka khasoosi taur par khayal rakhna parta hei.

Aksar khwateen ko yeh uljhan hoti hei ke kiya khaya jaye aur kiya nahi. Aik hamila aurat ko hamesha matwazan ghiza leni chahiye. Jabke junk food aur ghair sehat mand ashiya se bachna chahiye. Kyunke ghair sehat mand khurak paida hone wale bache keliye nuqsandeh bhi sabit ho sakti hei.


Pregnant khwateen ko zyada se zyada phal, sabziya aur khas taur par dry fruit ka istemal karna chahiye. Kyunke dry fruit bohat se khas ghizaiyat wale ajza se bharpoor hote hein.

Anjeer bhi aik aisa hi dry fruit hei, jisko pregnancy ke dauran khana faydamand hota hei. Aur aaj ham aapko batayen ge pregnancy mein 
Anjeer ke fayde.
 

Pregnancy me Anjeer khane ke 10 fayde


1- Anjeer mein baki phalon aur sabziyon ki nisbat zyada miqdar mein madaniyat aur vitamins paye jaate hein. Khas taur per Calcium, Potassium, Zinc aur Iron. Aur yehi ajza pregnancy ke dauran hamila khwateen keliye be Inteha zaruri samjhe jaate hein. Isi liye multi vitamin goliyon ki bajaye, Anjeer ka istemal zyada mufeed aur qudrati hei.

2- Anjeer mein bhari miqdar mein Potassium paya jata hei. Jo ke blood pressure ko control karne mein bohat madadgar hota hei. Isi vaja se yeh Preeclampsia se hamila khwateen ki hifazat karta hei. Pyare dosto, Preeclampsia ek khatarnak soorat-e-hal hoti hei, jo hamila khwateen mein blood pressure ke badh jaane ki vajah se paida ho sakti hei.

3- Anjeer mein payi jaane wali madaniyat ki khasusiyat insani doodh se bohat milti julti hoti hein.

Aik aur mufeed mazmoon: Akhrot benefits ya khane ke fayde

4- Anjeer mein baki phalon ki nisbat bhari miqdar mein halpazeer aur ghair halpazeer dono tarah ka fibre yani raisha paya jata hei. Isi waja se Anjeer Qabz paida nahin hone deta. Kyunke pregnancy ke dauran aksar khawateen ko Qabz ki shikayat ho jaati hei. Lehaza, Anjeer khane se Qabz se bachao mumkin ho jata hei.

5- Anjeer mein ek aisa enzyme paya jata hei, jo ke nizam-e-Inhizam mein bohat madad karta hei. Kyunke pregnancy ke dauran nizam-e-inhizam qudrati taur par sust pad jata hei. Is vajah se pregnancy ke dauran Anjeer khane se nizam-e-inhizam drust kaam karta rehta hei.

6- Anjeer mein Vitamin B6 bhi kaafi midqar mein paya jata hei. Yeh aik aisa juz hei, jo subha jaagne ke baad paida hone waali kamzori ko door karne ke liye behad mufeed samjha jata hei. Lehaza, pregnancy mein Anjeer khane se iski munasib miqdar mein frahmi jaari rehti hei. Jo pregnancy mein bohat fayda mand sabit hoti hei.

7- Anjeer Omega-3 fatty acids ke hasool ka bhi aik ehem zariya hei. Yeh aik aisa juz hei jo paida hone wale bache ki behtreen nasho numa ke liye nehayat ehmiyat rakhta hei. Agar pregnancy ke dauran jism ko munasib miqdar mein Omega-3 haasil hota rahe, to is se waqt se pehle delivery hone ka khatra bohat kam ho jaata hei.

8- Pregnancy ke dauran ya pregnancy ke baad khwateen ko osteoporosis ka khatra ho sakta hei. Yeh aik hadiyo ki beemari hoti hei, jis ki waja se hadiyan naazuk aur bhurbhuri ho jaati hein. Yeh kefiyat jism ke andar hormones mein tabdeeliyo ki waja se ya phir Calcium ya Vitamin D ki kami ki waja se ho sakti hei. Aisi soorat-e-haal se bachne ke liye Anjeer ka khana behad mufeed hota hei. Kyunke yeh Calcium se bharpoor hota hei.


9- Hamal ke dauran jism mein khoon ki kami ho sakti hei. Aur khoon ki kami ko door karne ke liye Iron ki zarurat hoti hei. Jab ke Anjeer mein Iron ki wafar miqdar payi jaati hei. Lehaza, pregnancy ke dauran khoon ki kami se bachne ke liye Anjeer ka istemal kiya ja sakta hei. Iske ilava Anjeer mein aise ajza bhi paye jaate hein, jo jism mein Iron ko jazab karne mein madad karte hein.

10- Dauran-e-hamal kuchh khwateen ko gestational diabetes yani hamal ki Ziabetus ki shikayat ho sakti hei. Yeh ek aisi halat hoti hei jis mein haamila khwateen ke khoon mein sugar ki satah badh jaati hei aur pedaish ke bad theek ho jaati hei.

Is vaja se pregnancy ke dauran aise phal khane chahiye jin mein glycemic index kam ho. Glycemic index darasal ek number hota hei jis se hamen yeh andaza hota hei, ke khane ki kin ashiya se khoon mein glucose ki satah mein kitni ahista ya kitni tez izafa hota hei.

Is maamle mein Anjeer ek aisa phal hei jis mein kam miqdar mein glycemic index paya jata hei. Isi vaja se yeh khoon mein sugar ki satah mein izafa nahin karta. Lehaza, pregnancy ke dauran iska istemal bohat mufeed hota hei.
 

Yaad rakhne waali baat


Pyare dosto, aap ne dekha ke pregnancy me Anjeer khane se jism ko kiya fawaid haasil ho sakte hein. Lekin yaad rakhiye, ke pregnancy ke dauran Anjeer ka istemal aitdaal ke sath aik had ke andar reh kar karna chahiye.

Kyunke yeh aik madniyat se bharpoor phal hei. Isi liye ziyada miqdar mein iska khana jism keliye nuqsandeh bhi sabit ho sakta hei. Zyada khane se aapke jism mein kisi maadni juz ki ziyadti bhi ho sakti hei. Iske ilawa iski taseer garm bhi hoti hei.

Lehaza, pregnancy mein Anjeer zaroor khaiye, magar apne doctor ke mashware se. Aik doctor hi aapke jism ki soorat-e-haal ke mutabiq aapko iske khane ki drust miqdar bata sakta hei.

Ummeed hei ke aapko yeh post, pregnancy me Anjeer khane ke fayde se mufeed maloomat haasil hui hon gi.

Pregnancy Me Anjeer Khane Ke Fayde

Post a Comment

Previous Post Next Post