Tuesday, July 11, 2017

Pista ke Fayde Pistachio Benefits in Hindi Urdu

Pista ke Fayde in Hindi Urdu

Pista ke Fayde ya Pistachio Benefits beshumar hein. Yeh un chand ghizaon mein shamil hei jo mukammal Insani sehat ke hawale se apne ander bohat ziyada ghizayi afadiyat rakhti hein. Mukammal fawaid maaloom karne K liye yeh article aakhir tak parhiye.

Pista ke Fayde in Hindi Urdu


Yeh Aaza e Raisa yani Dil, Dimagh aur Jigar K ilawa stomach yani Mayde K liye bhi nehayat mufeed hei. Kidneys ko Taqat deta hei. Dil ki ghubrahat aur Khansi mein fayda mand hei. Balgham ko door karta hei. Wabayi Amraaz se hifazat karta hei. Daant aur Masoodhon ko mazboot banata hei.

Lekin yeh Qaabiz bhi hota hei. Iska istemal aik had Ke ander reh kar kerna chahiye. Pista mein mundarja zail Ghizayi ajza paye jaate hein:

Proteins, Carbohydrates, Fiber yani Raisha, Fats, Potassium, Phosphorus, Iron, Magnesium, Calcium, Copper, Manganese, Zinc, Selenium, Vitamin A, Vitamin B-6, Vitamin C, Vitamin E, Vitamin K, Thiamine, Niacin, Riboflavin, Beta-carotene, Zeaxanthin, Lutein, Pantothenic acid aur folate. Yeh tamam ajza Pista ko aik behtreen ghiza banate hein.


Yeh baat khaas tor par qaabil e zikr hei ke Pista mein phosphorus aur potassium ki bhaari miqdar payi jaati hei. Jo baqi Dry fruits ki nisbat ziyada hei. Jabke is mein Protein ki miqdar bhi baqi tamam Dry fruits ke muqable mein bohat ziyada hoti hei. Har 1 ounce Pista mein 6 Gram Protein hoti hei. Is lehaz se yeh aik Protein rich ghiza hei.

Pista mein doosre khushk meva jaat ke muqable mein kaafi kam calories payi jaati hein. Aik ounce Pista mein 160 Calories hoti hein. Yehi waja hai K yeh diet karne wale logon K liye behad mufeed hota hei. Apni low calories, low fats aur high protein ki waja se yeh wazan kam karne waale logon ki bhi awaleen pasand hei.

Pista khana Dil ki sehat K liye mufeed hei. Researches kehti hein K is mein Fats ki miqdar kaafi kam hoti hei. Yeh mono-unsaturated fatty acids ke hasool ka bhi aik ehem zariya hei.


Agar aap isko baa qaydgi se istemal karo to yeh aap K muzre Sehat cholesterol yani (LDL) ko kam karta hei. Balke yeh aap K jism mein mufeed cholesterol yani (HDL) mein Izafa karta hei. Khoon mein Clots nahi ban-ne deta aur Sharyaano yani Veins K tang hone K amal ko rokta hei. Yun aap isko Dil ka dost bhi keh sakte hein.

Pista ke mazeed fayde


Pista mein mojood Copper aap K jism mein ghiza se haasil hone waale Iron ko jazab karne mein madad karta hei. Jis ki waja se jism mein khoon ki kami nahi hone paati aur Anemia jaise marz se bachao mumkin ho jata hei.

Jabke is mein sodium yani Namak ki miqdar bhi na hone K barabar hoti hei. Jiski waja se yeh hypertension yani High Blood Pressure ke mareezon K liye bhi mufeed hei.

Pista ka istemal insani jild ke liye bhi mufeed hei. Is mein shamil carotenoid antioxidants barhti umar ke asraat ko jild par zahir hone se rokte hein. Yeh jild ko khushki se bhi bachata hei.

Pista khana Sugar ke marz mein bhi mufeed hei. Sugar ke mareez ke jism mein Sugar Proteins ke sath mil kar us ko naqabil e istemal bana deti hei. Is amal ko glycation kaha jaata hei. Pista mein mojood antioxidants is amal ko kam karte hein. Jiski waja se Sugar ke mareez ko fayda hota hei.

Aik research K mutabiq Pista aadmi ki Jinsi quwat ko bhi barhata hei. Is research ke doran 3 hafte tak matwatar 100 gram Pista khaane waale mardon ki jinsi karkardgi mein 50% izafa note kiya gya. Aur is izafe ki tasdeeq ultrasound K zariye bhi ki gayi. Jis mein mardana jinsi Aaza ki taraf khoon ka flow check kya gya.

Pista ke Fayde jaan lene ke baad ham logo ko ALLAH ka shukar ada karna chahiye, jis ne hamein yeh naimat ata farmayi.

Pista ke Fayde in Hindi Urdu

Related Posts

1 Comments:

June 19, 2021 at 10:27 PM delete

Awr tum apny Rab k kin kin niamato ko jhutlawogy??

In natural fruits me hamary liye beshumar khazaany chupy hae.inky sahi istimal se hm bhut si beemario se bach skty hae...
Thnxx for inform🥰

Reply
avatar