Saturday, May 13, 2017

Kishmish Health Benefits Ya Khane Ke Fayde

Kishmish Health Benefits Ya Khane Ke Fayde

Kishmish Health Benefits ya Kishmish khane ke fayde jaan ker aap hairan reh jayen ge. ALLAH ki yeh naimat apne ander be intaha tibbi fawaid rakhti hei. Angoor jab khushk ho jaate hein to Kishmish ban jate hein. Rangat ke lehaz se iski 4 iqsam hoti hein. Surkh, sabz, sufaid aur siyah. Sabse behtreen qism sabz yani green color wali samjhi jati hei.

Kishmish Health Benefits ya Kishmish khane ke fayde


Kishmish tawanayi ke hasool ka aik behtreen zariya hei. Agar aap ko jismani kamzori mehsoos ho rahi ho ya aap thakawat ka shikar hein to yeh Kishmish ke istemal ka behtreen waqt hei. Yeh kamzori ko door kar ke jismani tawanayi ki satah ko barha deti hei. Jabke is mein Antioxidants bhi bohat ziyada miqdar mein paye jaate hein.

Yeh naa sirf Calcium se bharpoor hoti hei balke is mein aik aisa ansar bhi paaya jaata hei jo Calcium ko Jism mein jazab karne ka kaam karta hei. Jiski waja se hadiyan mazboot hoti hein. Calcium ki kami ka shikar log isko agar doodh ke saath istemal karein to yeh sone par sohaaga ka kaam kare ga.

Yeh Quwat e Baah yaani mardana taqat mein bhi izafa kerti hei.

Cholestrol kam kerne mein bhi madad kerti hei. Iska rozana ba qaydgi se istemal jism mein muzre sehat Cholestrol yani LDL ko barhne se rokta hei.

Yeh aik raisha yani Fiber se bharpoor meva hei. Is mein Tartaric Acid bhi paaya jaata hei, jiske asraat halke Julaab jaise hote hein. Is mein paye jaane waale Raishe ki yeh khasoosiyat hei ke yeh paani ki maujoodgi mein phool jaata hei. 

Isi waja se yeh ghiza ko zood hazam bana kar Qabz nahi hone deta. Balke ghiza mein shamil mukhtalif nutrients ko juzwe badan banane mein ehem kirdar ada kerta hei. Matwatar 15 din tak meethi Kishmish khate rehne se purani Qabz mein mufeed sabit hoti hei.

Jo log wazan kam karne ke liye warzish karte hein agar woh warzish ke sath Kishmish bhi istemal karein to bohat fayda ho ga. Is mein Carbohydrates bhi shamil hote hein jo bhook lagne ke ehsas ko kam karte hein.

Isko pabandi ke sath khaya jaye to jism mein doran e khoon ka nizam behtar ho jata hei. Is mein mojood Iron yani Faulad doran e khoon ko munazzam karne mein madad karta hei. Is mein aik aisa chemical paaya jaata hei jo jism mein kharab cells ki waja se ban-ne waale zarrat ka khatma karta hei.

Faulad aur deegar madniyat ke ilawa is mein Vitamin C bhi mojood hota hei jo ke madniyat ko jazab karne mein madad karta hei. Is waja se ye Balon yani hair ko qabal az waqt sufaid hone se rokta hei. 

Kuch mazeed Kishmish khane ke fayde


Kishmish mein aik aisa keemyai mada paaya jaata hei, jo insani jild ko taiz dhoop ke muzir asrat se mehfooz rakhta hei. Is mein mojood Amino acids ki waja se jild par aik teh si ban jati hei jo suraj ki muzir kirnon ke ilawa jild ke Cancer se bhi hifazat karti hei. 

Is mein shamil Kolajen naami juz ki waja se yeh jild ko lachak dar banata hei. Aur dheela padne se rokta hei, jis se jild per jhuriyan nahi padti.

Mazboot Danton aur sehat mand Masoodhon ke liye Kishmish ka ba qayda istemal tajweez kiya jaata hei. Is mein mojood Linoleic acid danton par Plaque ban-ne nahi deta. Jabke Calcium ki waja se daant mazboot ho jate hein.


Bachon ko tandrust o tawana rakhne ke liye Kishmish aik behtreen Tonic ka kaam kar sakti hei. Agar aapke Bache susti ka shikar rehte hein to Kishmish khilane se un mein taqat aur chusti aa jaye gi. 

Khansi hone ki soorat mein Mulethi ke sath mila kar khilane se fayda ho ga. Bache mein Khoon ki kami ho to Khajoor ke sath mila kar khilaiye. Aur Qabz ki soorat mein raat ko Paani mein bhigo kar subah sawere khilaiye.

Agar aap kisi aise safar pr jaa rahe hein jahan Paani ka milna mushkil ho, to aap rawana hone se pehle agar Kishmish kha lein to bohat acha rahe gaa.

Kishmish Health Benefits ya Kishmish khane ke fayde jaan lene ke baad, aap yaqeenan isko apni ghiza ka hissa banana pasand karein gay.

Kishmish Health Benefits Ya Khane Ke Fayde

Related Posts

2 Comments