Showing posts with label Roman Hindi/Urdu. Show all posts
Showing posts with label Roman Hindi/Urdu. Show all posts

Thursday, April 19, 2018

Flax Seeds Benefits In Urdu | Alsi Ke Fayde Istemal Ka Tarika

Flax Seeds In Urdu | Alsi Ke Fayde

Alsi ke fayde ya benefits of Flax Seeds jaaniye Urdu mein. Jaan kar aap hairan reh jayen ge. Jo log Alsi ko apni daily khurak ka hissa bana lete hein woh ziyada sehatmand hote hein. Iska istemal hazaro saal se kiya jaa raha hei. Zmana qadeem ki tibb ki kutub mein bhi iski shifa bakhsh qualities ka zikr milta hei.

Flax seeds (meaning in Urdu: Alsi ke beej) mein 30 se 40 % hissa tail ke ilawa Omega-3 fatty acid, Fiber aur protein khasi miqdar mein hotay hein. Jabke Vitamin B-1, B-2, Vitamin C, E, Carotene, Iron aur Zinc bhi paye jaate hein. Iske ilawa kuch miqdar mein Omega-6, Potassium, Phosphorus aur Calcium bhi maujood hote hein.

Alsi ki Taseer pehle darja mein Garam hoti hei. Iska Tail bhi istemal kiya jaata hei lekin Alsi ke beej istemal karna ziyada mufeed hein. Kiyuke yeh Tail jaldi kharab ho jaata hei isliye kam miqdar mein kharidye aur jaldi use kar lejiye. Iske ilawaa yeh bhi yaad rakhye ke is tail ko khana pakane keliye kabhi bhi use nahi karna chahiye.

Flax seeds benefits in Urdu, jaaniye Alsi ke Fayde


Alsi Cancer ko bardhne ya phailne se rokti hei. Is mein Ghair hal pazeer Raishe yani Phytoestrogens lignans bhi bhari miqdar mein hote hein. Yeh na sirf Jaraseem aur Virus ko door karte hein, balke Jism mein Rasoli yani Tumor bhi ban-ne nahi dete. Yeh Alsi ka aik bada benefit hei. Doctors ke khayal mein yeh Raishe Astrojen harmon ko Jism se nikal dete hein. Isi harmon ki waja se hi jism mein Tumors ki afzayish hoti hei. Yun jism mein Tumor nahi ban sakta aur agar pehle se Tumor mojood ho to woh bardhne nahi paata.


Alsi ya Flax seeds mein behtreen qism ka protein hota hei. Jo log kisi waja se Gosht ya Fish nahi kha sakte, woh Alsi ke beej kha liya karein. Is mein Omega-3 Fatty acid kaafi miqdar mein paya jaata hei. Yehi juz machli ke Tail mein bhi hota hei. Yeh khoon main thakke ban-ne se rokta hei. Cholesterol kam karta hei aur Dil aur Dimagh ki sehat keliye behtreen samjha jaata hei. Joro ke dard aur Dama ke marz mein bhi mufeed hei.

Flax seeds Diabetes yani Sugar ke marz mein bohat mufeed hein. Kiyuke yeh khoon mein shakar ki miqdar ko balance karne ki salahiyat rakhte hein.

Alsi mein maujood Fatty acids ghiza ke juzwe badan ban-ne ke amal ko taiz karte hein. Inki waja se jism mein se faaltu charbi ke pighalne mein madad milti hei. Jis se wazan kam hota hei.


Yeh Qabz mein bhi faydamand hei. Kiyuke Flax seeds mein bohat ziyada Raisha aur Qudrati Luab hota hei. Iske daily istemal se haazma to taqat milti hei.

Haamila aur doodh pilane waali khwateen agar rozana aik tea spoon Flax seeds oil yani Alsi ka Tail pee liya karein, to bache ka dimagh taiz ho jaata hei. Aur agar school jaane waale bache is Tail ke 5 drops rozana pee lein, to woh saans ki beemariyo se mehfooz rehte hein.

1 tola Alsi ke beej Paani mein josh de kar pees lein aur pee lein. Kuch din tak yeh amal karte rahein to Masana ki pathri nikal jaati hei.

Alsi ke istemal ka tarika


Alsi ke beej yani Flax seeds ka chilka kaafi sakht hota hei. Agar isko baghair chabaye kha liya jaye, to hamara haazma isko hazam nahi kar paata. Aur yeh saalim hi kharij ho jaata hei. Isliye inko use karne ka behtreen tarika yeh hei ke inko pees kar khaya jaye.


Aap Alsi khareed kar isko chhan kar aur saaf kar ke Fridge mein rakh dein. Rozana subha Khaali pait jitni zaroorat ho utni hi miqdar mein Flax seeds ko Grinder mein pees kar paani ke sath kha liya karein. Ya phir sirf aik hafte ki khurak ko pees kar air tight bottle mein daal kar fridge mein rakh lein.

Rozana aik chamach ka istemal kaafi hei. Aik hafte ke baad 2 chamach tak bardha dein. Istemal shuru karne ke 15 din ke baad se aapko is ke mufeed asraat mehsoos hone lagein ge. Lekin baaz logo ko 1 mahina bhi lag sakta hei. Lekin is amal ko jaari rakhna aapko bohat si beemariyo se bachaye rakhe ga.

Alsi ke fayde ya benefits of Flax seeds in Urdu jaan lene ke baad jab aap iska regular istemal karna shuru karo, to aik baat ka khas khayal rakhiye. Woh yeh ke aap ne apni daily routene se ziyada paani peena hei.

Flax Seeds In Urdu | Alsi Ke Fayde

Wednesday, April 4, 2018

Amla Ke Fayde Khushk Amla Powder Ke Fawaid

Amla Ke Fayde iske Juice aur Khushk Amla Ke Powder Ke Fawaid Janiye
Amla Ke Fayde is mash-hoor qaul se sabit hote hein. Yani 'Amle ka khaya aur bazurgo ka kaha baad mein zahir hota hei'. Matlab yeh ke iske fayde baad mein saamne aate hein. Is gol shakal ke phal mein quwat aur tawanayi ka khazana chupa hua hei. Yeh beshumar amraz ke ilaj mein moassar hei.

Amla ki taseer sard, khushk aur Peshab aawar beyan ki gayi hei. Lekin yaad rakhiye ke khushk mizaj waale phal qaabiz hote hein. Iska zayqa tursh aur kaseela hota hei. Yeh aam tor par medicines mein ziyada use kiya jaata hei. Khas tor par hair Tonics mein iska istemal bohat ziyada hei. Jabke sabzi ke tor per use karne ke ilawa iska Achar aur Murabba bhi banaya jaata hei.

Amla ke ghizayi ajza


Taza Amla mein 80 % Paani, Protein, Vitamin B, C, Calcium, Iron aur Phosphorus achi miqdar mein paye jaate hein. Is mein doosre tamam phalo se ziyada miqdar mein Vitamin C paya jaata hei. Amla se ziyada fayda haasil karne ke liye zaroori hei ke isko namak ke sath kacha khaya jaye. Is tarah se is mein maujood Vitamin C aur doosre minerals zaiya nahi hote.


Is mein bhari miqdar mein paaya jaane waala iron juzwe badan ban jaane ki salahiyat rakhta hei. Deegar zariyo se jo Iron haasil hota hei woh haazme mein kharabi aur Aanto mein sozish paida kar sakta hei. lekin Amla se jo Iron haasil hota hei woh saaf khoon ki pedayish ke liye best hota hei. Jabke yeh pait ko kharab bhi nahi hone deta. Albatta yeh thoda sa qaabiz hota hei.

Amla ke Fayde in Hindi Urdu


Isko ba qaydgi ke sath khane waalay log sehatmand aur lambi umar paate hein. Is mein aik aisa maada paaya jaata hei jo Budhaape ke aasar ko khatam kar ke taqat ko qayim rakhta hei. Amla aapko har marz se bachata hei aur aapki umar 100 saal tak jaa sakti hei.

Amla jism ke bohat se Ghadoodo ko mutaharrik karta hei. Dil ke amraaz mein iska istemal behad mufeed hei. Dil ke mareezo ko chahiye ke 3 daane Amle ke har roz kha liya karein. Agar Dil kamzor ho ya dharkan taiz ho jaati ho to Amle ka Murabba use kejiye. Is se aapki yeh kamzori door ho jaye gi.


Hath paaoon ki jalan, Nakseer aur jismani hiddat mein Amla ka istemal mukammal aaram deta hei. Jee matlana, Badhazmi, Khatte dakar aur Ishaal ho to yeh phal behtreen shaafi hei. Sar ka dard, sar chakrana, Dimaghi kamzori aur sar ke tamam amraaz ke liye Amla zabardast dawa hei.

Is aala phal ke kuch daane raat bhar ke liye paani mein bhigo kar rakh dejiye. Subha is paani se aankho ko dhoya jaye to aankho ki laali, Jalan aur nazar ki kamzori mein fayda hota hei. Aur agar is paani se sar ko dhoya jaye to Dimaghi kamzori aur sar chakrana theek ho jaye ga. Neez baal bhi narm-o-mulayim ho jaye gay.

Amla ka Juice ya Rus ke Fayde


Aap Amla ka Juice nikaal kar istemal kar sakte hein. Is maqsad ke liye Amlo ko kaat kar Guthliya alag kar lejiye. Phir kaate hue Amlo ko Juicer machine mein daal kar inka juice nikaliye. Aik kilo phal se lag bhag 2 glass juice nikal aye ga. Ab is juice ko kisi bottle mein daal kar fridge mein mehfooz kar dejiye.

Is juice aur Shehed yani Honey ka aik aik chamach 1 glass Paani mein mix kar ke roz subha pee lejiye. Aapko din bhar chaak-o-choband rakhe ga. Yeh antioxidants se bharpoor sharbat aik nehayat aala dawa ka kaam bhi karta hei. Is mein Diabetes aur Cancer samait beshumar amraaz ke khilaf ladne ki salahiyat hei. Cholesterol level ko theek karne ke ilawa wazan kam karne mein bhi moassar hei.

Jismani kamzori ka shikar log Amle ke juice aur Shehed ka aik aik chmach mix kar ke roz subha use karein. Yeh amal unki jismani kamzori door kar de ga. Sirf 2 hafte mein hi unke jism mein bharpoor tawanayi peda ho jaye gi.

Amla ke Juice mein Misri mila kar peete rehne se in beemariyo mein mukammal aaram milta hei. Rehem ki jalan aur beemariya, Masanay ki garmi, Peshab ki jalan ya ruk ruk kar aana aur Sozak.

Amla ka powder ya Khushk Amlo ka Safoof


Agar Taza Amla na mil sake to kisi Pansaar store se khushk Amlo ka powder ya safoof le lejiye. Aap yeh powder khud bhi tayyar kar sakte hein. Iske liye jab taza Amle mil jayen to unko kaat kar dhoop mein khushk kar lejiye. Iske baad grinder mein pees kar mehfooz kar lejiye. 

Yeh powder Amla ke juice ya rus ke mutabadil ke taur par use kiya jaa sakta hei. Jab is powder ko Shehed ke saath milaya jaye to aik umda majoon tayyar ho jaati hei. Is dawa se Phaiphro ke amraaz bhi theek ho jaate hein.

Bawaseer ke mareez agar yeh powder Gaaye (Cow) ke doodh ke saath subha aur sham use karein to bohat fayda ho ga. Bacha dani se khoon aata ho to din mein 3 ya 4 baar Amla ka powder paani ke saath khilane se marz door ho jaata hei. Is powder ke 2 chamach rozana roti ke saath khane se Budhapa door rehta hei. Agar jism mein kaheen Pathri ki shikayat ho to is powder ko Mooli ke juice mein mila kar use kejiye.

Agar is khushk Amla ke powder ko Manjan ke taur par use karein. To is se Daanto se khoon aana, Daant dard aur Daant hilne mein aaram aa jaata hei. Chot lagne se agar khoon band na ho to yehi powder zakham par daal kar patti baandh lejiye. Khoon ruk jaye ga neez is powder se Phoday bhi jald theek ho jaate hein.

Balo ki sehat ke liye


Balo ki mazbooti aur sehat ke liye Amla se behtar koi aur cheez nahi. Isko chahe khaya jaye ya iska paste Balo ki roots mein lagaya jaye, dono tarha se faydamand hei. Yeh balo ki roots ko mazboot karta hei aur inke natural color ko qayim rakhta hei.  Iske regular istemal se Ganje pan ka khatma ho jaata hei.

Amlo ko pees kar paani mein milaiye. Ab is paani se sar dhoya jaye to baal girna band ho jaate hein aur inki siyahi bhi qayim rehti hei. Amla ke powder ko paani ke saath mila kar Balo ki roots mein laip kar dejiye. Thori dair ke baad sar dho lejiye. Is se bhi baal khoob mazboot ho jayen gay.

Amla ke fayde yaqeenan hairat angeiz hein.

Amla Ke Fayde iske Juice aur Khushk Amla Ke Powder Ke Fawaid Janiye

Friday, March 16, 2018

Khajoor Ke Fayde Janiye Dates Benefits in Urdu Hindi

Khajoor Ke Fayde Janiye Dates Benefits in Urdu Hindi

Khajoor ke fayde is post mein aap jan sakte hein. Yeh aik nehayat Quwat bakhsh phal hei. Isko Sehra ki roti bhi kaha jata hei. Taza phal ko Khajoor aur khushk phal ko Chuhara kehte hein. Yeh ziyada tar Saudi Arab, Iran, Misr, italy, Spain aur Russia mein peda hota hei.

Khajoor ke ghizayi ajza


Tamam purani aur jadeed researches yehi baat saabit karti hein ke Khajoor aik ghizayi ajza se bharpoor phal hei. Har 100 Gram Khajoor mein taqreeban 315 Calories payi jaati hein. 

Aur isi miqdar ke phal mein 15.3% paani, 2.5% Protein, 0.4% Fats, 75.8% Carbohydrates aur 3.9% Fiber paya jata hei. Jabke isi miqdar mein Calcium 120 mg, Phosphorus 50 mg, Iron 7.3 mg, Vitamin C 3 mg aur Vitamin B complex ki kuch miqdar bhi payi jaati hei.

Khajoor Ke Fayde in Urdu Hindi


Khajoor ka mizaj Garm aur Tar hota hei. Badan ko taqat deti hei. Naya aur saaf Khoon peda karti hei isi liye kamzor logo ke liye behtreen ghiza hei. Khas tor per sardi ke mausam mein iska istemal behad mufeed hei.

Khajoor mayda ki islah karti hei. Iska regular istemal Qabz ka khaatma karta hai. Yeh aik hazam ke amal mein madad dene wala phal hei, albatta khud der se hazam hoti hei. Jism mein iske hazam ho jaane ke baad iska bach jaane wala mawad, Aanto mein jaa kar harkat peda karta hei. Jiski waja se Qabz door karne mein madad milti hei.

Minni ko gaarha kar ke Mardana taqat mein behad izafa karti hei. Peshab ki jalan khatam karti hei. Kisi bhi qisam ka wurm ho khajoor khaane se tehleel ho jata hei. Faalij aur Laqwa ke marz mein bhi iska khaana mufeed hota hei.

Khajoor ki Guthli ko jala kar iski Raakh ko mehfooz kar lein. Jab bhi kabhi zakham lag jaye aur Khoon beh raha ho to yeh Raakh zakham par laga dein. Is se khoon behna bhi band ho jaye ga aur yeh zakham ko bhi saaf kar de gi. Jabke yeh Raakh aap ke Daanto ke liye aik behad umda Manjan ka kaam bhi de sakti hei.

Kuch mazeed Khajoor Ke Fayde


Khajoor Dil, Jigar aur Dimagh ki kamzori ko door karti hei. Gurdo ko bhi quwat deti hei. Saans ki takleef mein aaram pohanchati hei. 

Dil ki kamzori door karne ke liye Khajoor ke chand daane raat bhar paani mein bhigo ker rakh dein. Subha uth kar Guthliya nikal kar in bhigoyi hui Khajooro ko isi paani mein masal kar pee lein. Yeh amal hafte mein 2 baar kiya karein. Kuch arse mein Dil ki kamzori door ho jaye gi.

Jinsi Kamzori door karne ke liye aap chand Khajoor ke daane bakri ke doodh mein raat ko bhigo kar rakh dejiye. Subha Guthliya nikal kar Khajooro ko masal dejiye aur isi doodh mein rehne dejiye. Ab is doodh mein thora sa Shehed milaiye. Iske ilawa pisi hui choti Ilaychi ki aik chutki milaiye aur pee lejiye.

Yeh nuskha kuch din tak use karte rahiye. Is se Jinsi taqat mein izafa hone ke ilawa aapki Timing bhi barh jaye gi.

Khajoor ke fayde jo ziyada ehem hein ham ne yahan beyan karne ki koshish ki hei. Agar aap kuch mazeed jankari rakhte hein to please comments kejiye.

Khajoor Ke Fayde Janiye Dates Benefits in Urdu Hindi

Wednesday, December 20, 2017

Dangi ya Dengue Bukhar ki Alamat Ilaj aur Bachne ke Tarike

Dangi Bukhar ki Alamat Ilaj aur Bachne ke tarike
Dengue ya Dangi Bukhar koi naya marz nahi hei. Yeh aik makhsoos qism ke machar ke kaatne se insani jism mein daakhil hota hei. Iska ziyada tar shikar Asiai mumalik ke log hein. Lekin ghubrane ki koi baat nahi, yeh mukammal taur par aik qabil e ilaj marz hei.

Dangi Bukhar ki alamat


Is marz mein mareez ko taiz bukhar ke saath saath sir mein bohat sakht dard hone lagta hei. Blood pressure bohat kam ho jaata hei. Jism achanak bohat thanda ho jaata hei.

Ghutnon mein takleef aur joron mein bhi dard hona shuru ho jaata hei. Jism insani ki Quwat e Mudafeyat taqreeban khatam ho jaati hei. Surkh rang ke dhabbe poore jism par zahir hone lagte hein.

Dangi Bukhar ke Marahil


Dangi Bukhar ke 4 marahil hote hein. Ibtadai 2 marahil mein ilaj aasani se ho sakta hei. Lekin aakhri dono Marahil mein jaan bachana namumkin ho jaata hei. Yeh chaaron marahil neeche byan kiye gaye hein.

Pehla marhala, Mareez ko shadeed Bukhar aur ooper byan karda alamaat bhi zahir hone lagti hein.

Doosre marhale mein pehle marhale ki alamaat ke saath saath bari Aant, Masoorhon aur jild se khoon behne lag jaata hei.

Teesre marhale mein Nizam e Dauran e khoon bhi shadeed taur par mutassir hota hei.

Chothe marhale mein mareez ke liye takleef na qabile bardasht ho jaati hei. Aur Quwat Mudafeyat ke naa hone ki wajha se woh kai beemariyon ka shikar ho jaata hei.

Dangi Bukhar se bachao ke liye ahtiyati tadabeer


W.H.O ke mutabiq duniya bhar mein jitni bhi amwaat hoti hein, un mein Dangi Bukhar se hone waali amwaat ka tanasub 4% hei. Sirf ahtiyat se hi is marz se mukammal bachao mumkin hei.

Chunke Dengi marz ko phelaane waale Machar sirf saaf paani mein rehna pasand karte hein. Isliye apne gharon aur baagheecho mein kaheen par bhi saaf paani ko khada mat hone dein. Saaf paani ke tamam bartan dhaanp kar aur water tank ko hamesha dhakkan laga kar rakhein.


Machar maarne waale spray ka baa qaydgi se istemal karein. Aur ghar ke har kone aur bistron aur Sofa set ke neeche spray laazmi kiya karein.

Dangi ke Machar ziyada tar Suraj ke nikalne aur doobne ke auqat mein hi hamla aawar hote hein. Isliye in auqat mein khasoosi ahtiyat kiya karein.

Machar daani aur Machar bhagane waale lotion ka istemal bhi aik achi ahtiyat hei.

Dangi Bukhar ka ilaj


Kamzor Quwat mudafeyat ke haamil log, kam sehat mand afraad, Boorhe log aur Bache Dangi marz se zyada mutasir hote hein. Albatta jadeed researches ke mutabiq yeh Bukhar itna khatarnaak nahin jitna is ko samjha jaata hei. Zaroori dekh bhaal aur baa qayda ilaj se sirf aik hafte se do hafte ke dauran mukammal shifa haasil ho jaati hei.

Tibbi mahireen ki research ke mutabiq, Dangi Bukhar ke ilaj ke liye Papeete ke patte aur Shehed yani Madhu ka istemal behtreen saabit hua hei.


Hamare piyare Rasool (Sall ALLAH o alaihe Wa aalehi wasallam) Shehed ko Paani mein hal kar ke peena pasand farmaate thay. Bilkul isi tarha aik cup neem garam paani mein aik chamcha Shehed mila kar din mein 3 baar khane se kuch deir pehle mareez ko pila diya karein.

Papeete ke patton ka rus nikaal kar subha aur shaam pilana bhi Dangi Bukhar ka Shaafi ilaj hei.

Bakri ka Doodh bhi is marz mein nehayat mufeed saabit ho sakta hei. Mareez ko din mein baar baar Bakri ka doodh pilaate rehna chahiye.

Hamain ummeed hei ke Dangi Bukhar ki alamat aur ilaj ke baare mein yeh maloomat aapke kaam aayen gi.

Dengue Bukhar ki Alamat Ilaj aur Bachne ke tarike

Tuesday, November 21, 2017

Achi Neend Lene Ka Fun ya Behtreen Tarika Janiye in Hindi Urdu

Achi Neend Lene Ka Fun in Hindi Urdu
Achi neend ALLAH taala ki bohat bari nemat hei. Iski kami se Dimagh susti ka shikar ho jaata hei aur kaam karne ki salahiyat mutasir hoti hei.

Agar neend ki kami musalsal jaari rahe to insan bohat saare jismani aur Zehni masayil ka shikar ho sakta hei. Jabke raat ki mukammal neend lene se Jism aur Dimagh ko sakoon milta hei. Aur insan roz marah ke kaam karne ke qabil ho jaata hei.

Achi Neend Lene Ka Fun in Hindi Urdu

Gehri Neend aankho ki thakawat door kar ke unko tar o taza rakhti hei. Neend puri na hone se aankho ko bohat nuqsan hota hei. Raat ko jaldi sona aur Subha sawere uthna, insan ko tandrust banaye rakhta hei.

Raat bhar ki puri Neend aur mukammal aaram ki is tadbeer se Dimagh aur Aasaab ko woh taaqat muyassar aati hei. Jo phir se din bhar ke masayil, mushkilaat aur takleef deh haalaat se muqabla karne ki salahiyat peda kar deti hei. Lehaza har insan ko is sunehre asool "Jald sona aur Subha sawere uthna" ko apnana chahiye.

Achi neend lene ke liye kya kiya jaye


Aksar logon ko mukhtalif wajuhaat ki bina par Neend nahi aati. Isliye zaroori hei ke un asbaab ka pata lagwa kar unko door kiya jaye. Jinse Neend mein khalal peda hota hei. Maslan tafikraat aur gham o ghussa se chunke Dimagh mein khoon munjamid ho jaata hei. Isliye in kefiyaat mein Neend be intaha mutasir hoti hei.


Lehaza iska khayal rakhna chahiye ke sote waqt Dimagh tamam qism ki uljhano se aazad ho. Iski tadbeer yeh hei ke sote waqt aaram deh bister par haath pair phela kar khaali zehen ke saath letaa jaye. Is surat mein meethi aur gehri Neend haasil ho sake gi.

Iske ilawa yeh bhi khayal rakhiye ke roshni ki koi kiran sone waale ki aankho par na pare. Warna khoon ka bahao Dimagh ki taraf barh jaye ga. Aur aasabi nizam mein harkat peda ho jaye gi. Jis se neend khasi mutasir ho jaye gi.

Achi Neend Lene Ka Fun The Art of Sleeping


Achi Neend Lene Ka Fun in Hindi Urdu
Apni be aitdaliyon ki waja se insan ne neend jesi nemat ko apne liye museebat bana rakha hei. Dr. Hamza Al Hamzawi ne apne lecture The Art of Sleeping, yani neend lene ka Fun mein achi neend lene ke liye apni research ke mutabiq kuch tarike bataye hein. Jinke mutabiq:

Isha ke baad raat 9 se 12 baje tak sona: In auqaat ke doraan sona sab se ziyada fayda mand hei. Aik insan apni neend ka 80% hissa in auqaat mein pura kar sakta hei. Kiunke in auqaat mein neend ke liye barkat hei, so is waqt ki neend ka matlab: Aik Hour ki neend = Teen hour ki neend.

Is waqt ke doran Dimagh ka Gland aik harmon peda karta hei. Jo hamein achi neend lene mein madad deta hei. Yeh sirf usi soorat mein peda hota hei agar:

1. Sone ke doran kamre mein andhera ho. 
2. Agar neend nahi aa rahi tab bhi insan sakoon se lait jaye.


Raat 12 baje se 2 baje tak sona:  In auqaat ke doraan sone se insan ki 20% gehri neend puri ho jaati hei. Iske baad ka sona achi neend ke liye fayda mand nahi. Kiunke insan apni 100% neend puri kar chuka hota hei. In auqaat mein sone ka matlab:  1 Hour ki neend = 1 Hour ki neend

2 baje se 5 baje tak yani Fajar se pehle ke auqaat: Yeh waqt kuch yaad karne ke liye behtreen hei. ALLAH ko yaad karne ke liye, Zikar aur Astaghfaar karne ke liye, yaa zehni irtakaz aur Muraqba karne ke liye.

Fajar ki namaz se Suraj nikalne tak sona:  In auqaat mein Dimagh aik doosra harmon khaarij karta hei. Yeh Harmon in auqaat mein sirf isi soorat mein khaarij hota hei jab:

1. Insan jaag raha ho.  
2. Roshni ke saath halki phulki warzish bhi ho.

Yeh waqt hei Zikar o Azkaar ka, ghor o fikar karne aur din ko hone waale kaamon ki mansooba bandi karne ka.

Din ko sona (Fajar ke baad): Yeh bilkul bhi fayda mand nahi.  In auqat mein sone ka matlab: Teen Hour ki neend = Aik Hour ki Neend

Is waqt sone mein koi barkat nahi. Balke yeh saara din kaahili, susti aur tawajja mein kami ka bayis banta hei.

Achi neend ke liye kuch mazeed info


Insani Dimagh mein Harmons ka khaarij hona 40 saal ki umar ke baad kam hota jaata hei. Aur 50 saal ki umar mein yeh ikhraaj ruk jaata hei. Is waqt insan ka jism us harmon ko hi use karta hei. Jo guzishta saalon mein jism main jama hua tha.

Ab agar koi insan Alzhimer aur Schizophrenia jaise Dimaghi amraaz ka shikaar hota hei. To iska matlab yeh hei ke woh zindagi bhar der se soya karta tha.

Agar aap Dr. Hamza ke bataye hue is tarike se achi neend haasil karne ki aadat daal lein. To aapko kabhi bhi neend ki kami ka saamna nahi karna pare ga.

Saturday, September 23, 2017

Balo Ko Sidha Karne Ke Gharelu Tarike (Behad Aasan)

Balo Ko Sidha Karne Ke Gharelu Tarike
Balo Ko Sidha Karne Ke Gharelu Tarike aap is article mein jaan sakte hein. Taqreeban har aurat ya larki ki khwahish hoti hei ke uske Baal narm aur Sidhe hon. Yehi waja hei ke Balo ko sidha karne waali products ki maang bohat ziyada hei.

Lekin kya aap jaante hein ke in products mein chemicals shamil kiye jaate hein. Jo aapke balo ki sehat ko buri tarah se mutassir kar sakte hein. Jabke iske muqable mein agar Gharelu Nuskhe yaa Qudrati Totke istemal kiye jayen, to woh ziyada mehfooz aur moassar sabit hote hein.


Isi liye aaj ham aapko aise hi chand Gharelu Nuskhe ya tarike batayen ge. Jo Balo ko Sidha karne ke liye jaadu jaisa asar karte hein. Aur unke koi side effects bhi nahi hote.

Balo Ko Sidha Karne Ke Gharelu Tarike


Balo Ko Sidha Karne Ke Gharelu Tarike mundarja zeil hein.

Nariyal ke Paani aur lemo ke Ras ka Tarika


Nariyal ka paani Balo ko narm karne ke liye acha hota hei. Aap aik Cup mein Nariyal ka Paani aur 2 Lemo ka ras mila kar raat bhar ke liye fridge mein rakh dei.

Subha ke waqt aapko cup ke ooper aik Careem si nazar aaye gi. Ab is careem ko nikaal kar apne balo par lagayen. Aur uske baad Balo ko aik Garm Towel mein aik ghante tak dhaanp kar rakhein. Iske baad inko dho kar conditioner kar lein. Is tarike se aapke Baal Sidhe aur narm ho jayen ge.

Garm Tail ke istemal ka Tarika


Balo par Garm Tail lagane se yeh Narm aur healthy ho jaate hein. Agr aap is Tail ka istemal karna apna mamool bana lein to aapke Baal Sidhe ho jayen gay. Is maqsad ke liye Nariyal ka Tail aur Badam ka Tail brabr miqdar mein mila kar isko garm karein aur apne balo per lagayen.


Iske baad balo ko aik Garm Towel se aik ghante tak lapait kar rakhein. Baad mein inko kisi ache Shampoo se dho lein. Is tarike ke results aapko hairan kar dein ge.

Balo ki natural Conditioning kar ke


Aap apne Balo ke liye khud se natural Conditioner tayyar kar sakte hein. Jis se na sirf inki growth aur health behtr ho gi, balke yeh narm aur Sidhe bhi ho jayen ge.

Is maqsad ke liye aap aadha cup Alsi ke beej lein. Aur inko 3 cup paani mein raat ke waqt bhigo kar rakh dein. Subha uth ker apne Balo ko kisi ache Shampoo se dhone ke baad is paani ko apne balo par istemal karein.

Doodh aur Ande ki zardi ke istemal ka Tarika


Doodh aur Anda sehat ke saath saath Balo ko sidha karne ke liye bhi istemal ho sakte hein. Iska tarika yun hei, ke aap aik cup Doodh mein 2 Ando ki Zardi ko daal kar achi tarha mix karein aur apne balo par laga lein.


Isko aik ghante tak sir par laga rehne dein. Taake protein aur doosre fayda mand ajza Balo mein jazb ho sake. Iske baad Shampoo se sir ko 2 baar dho lein. Is tarike se bhi Baal sidhe ho jayen ge.

Doodh, Shehed aur Kele ka Tarika


Aap Doodh mein Shehed ko milaiye aur phir is mein Kele yani Banana ko masal kar daal dejiye. Phir achi tarah se iska paste tayyar kariye. Ab is paste ko Balo par laga kar isko 2 ghante ke liye rehne dejiye. Taake yeh ache se khushk ho sake. Iske baad Shampoo se dho lein. Yeh bhi aik zabardast tarika hei Baal seedhe karne ka.

Yeh tmam Balo Ko Sidha Karne Ke Gharelu Tarike bohat hi aasan hein. Inke koi side effects bhi nahi. Aap inko ghar par easily try kar sakte hein.

Balo Ko Sidha Karne Ke Gharelu Tarike

Monday, September 18, 2017

Amrood Ke Faide Benefits of Guava in Urdu Hindi

Amrood Ke Faide Guava Benefits in Urdu Hindi
Amrood Ke Faide yaa Guava Benefits bohat se hein. Amrood aik behtreen Ghiza aur Dawa hei. Iska darakht saal mein 2 baar phal deta hei. Aik baar Barsaat mein aur doosri baar sardion mein.

Is mein Vitamin C aur Fiber yani Raisha kaafi miqdar mein paaya jaata hei. Iske ilawa is mein Protein, Fats, Carbohidrates, Calcium, Iron, Phosphorus, Vitamin A aur B bhi paye jaate hein.

Amrood Ke Faide, Benefits of Guava in Urdu Hindi


Amrood Ke Faide hairat angaiz hein. Amrood ka mizaj pehle darje mein Garm aur Tar hota hei. Yeh aik nehayat Farhat bakhsh phal hei. Bhook ki kami ko door karta hei. Dil ko taqat dene ke saath saath Dil ki dharkan ko bhi normal karta hei.

Yeh Qabz Kusha hota hei. Isko khana khane ke baad khao to Qabz ka khatma karta hei. Lekin agar khana khane se pehle khao to Qabz paida karta hei.

Bawaseer Khooni ke mareezon ke liye iska khana mufeed hei. Yeh Bawaseer ke Masson ki jalan ko khatam kar deta hei.

Yeh Mayday ko Quwat deta hei. Isko Namak aur Kaali Mirch ke ssath khana chahiye. Is se yeh zood hazam ho jaata hei. Amrood khaane ke baad ooper se Paani nahi peena chahiye, warna Gala kharaab ho sakta hei.

Amrood khaane se Aanton ki Hawa, Mayday ki Jalan, Puraani Badhazmi, Dayemi Qabz aur Tezabiyat theek ho jaati hei.

Jaaniye Aalu Bukhara Ke woh Fayde jo shayad aapko maloom nahi.

Khoon ki Hiddat aur Jild ki kharabi ko door karta hei. Jee matlaa raha ho to iski Khushbu se tabiyat behtar ho jaati hei.

Amrood ke chand aur fayde


Amrood ke Beej hazam nahi hote lekin yeh Pait ke Keere khatam karne mein bohat moassar hote hein.

Heiz ki ziadti hone ki soorat mein bhi yeh phal behad mufeed hota hei.

Kache Amrood Qabz paida karte hein. Isliye inko khaane se Dast ke mareez ko fayda hota hei aur Dast aane band ho jaate hein.


Amrood ke Patton ko Paani mein Josh de kar is paani se Ghararay kiye jayen, to Munh ka wurm theek ho jaata hei. Aur hilte hue Daant theek aur Masoorhe mazboot ho jaate hein. Iske ilawa yeh Paani Haizay ke mareez ko pilaya jaye to uske puraane Dast band ho jaate hein.

Amrood ke faide jaan kar hamein yaqeen hei ke aap log isko zaroor khana pasand karein ge.

Amrood Ke Faide Guava Benefits in Urdu Hindi