Angoor Ke Faide in Urdu Hindi


Angoor Ke Faide in Urdu Hindi
Angoor ke faide jaan-ne ke liye yeh post parhein. Angoor ALLAH taala ki aik bohat bari nemat hei. Quran-e-Paak mein 11 mukhtlif Aayaat mein iska zikar aaya hei. Yeh aik ghizaiyat se bharpoor aur aasani se hazam ho jaane waala phal hei.

Insani Sehat aur Quwat ki bahaali ke liye Qudrat ka aik anmol tohfa hei. Iski be shumar iqsaam hoti hein. Yeh green, red, yellow aur black color mein aata hei. Iske daane Matar ke daane se le kar Aalu Bukhara ke jitne bhi hote hein.

Mizaj ke lehaz se yeh pehle darja mein Garm aur Tar hota hei. 100 Gram Angoor mein 32 Calories hoti hein. Jabke is mein 92% Paani ke ilawa Protein, Fats aur Carbohydrates paye jaate hein. Iske ilawa is mein Calcium 20mg, Phosphorus 20mg, Iron 0.25mg, Vitamin C 31mg ke ilawa Vitamin A aur B complex ki bhi kuch miqdar hoti hei.

Angoor ke faide in Urdu Hindi


Angoor ke faide to be shumar hein jin mein se kuch ham yahan beyan karein ge.

Yeh naa sirf Khoon ko saaf karta hei, balke saaleh Khoon paida bhi karta hei. Seene aur Phaiphron ki islah karta hei.

Angoor mein yeh salahiyat hei ke yeh fori tor par Jism ko Hararat aur Tawanayi mohayya karta hei. Is mein Glucose hota hei, jo Jism mein pohanch kar foran Khoon mein jazb ho jaata hei.

Aam Jismani kamzori aur Haazma ki kamzori ke mareezo ke liye Angoor aik bohat achi ghiza hei. Yeh Dil aur baqi tmam Aaza ki karkardgi ko behtar banata hei.

Yeh bhi zaroor parhiye Akhrot Benefits Ya Khane Ke Fayde

Angoor mein mojood Shakar, Khulwi maada aur naamyaati Tezab mil kar ise Julaab aawar banate hein. Jis se Qabz door ho jaati hei. Is maqsad ke liye 350 Gram Angoor rozana khana chahiye. Agar Angoor ka mausam na ho to Kishmish ko thori der tak paani mein bhigo ker istemal kiya jaa sakta hei.

Dil ke marz mein Angoor khana nehayat mufeed hei. Yeh dil ko taqat deta hei. Dil ke dard aur Ikhtilaj e Qalb ko door karta hei. Yeh mareez ko dil ki taiz dharkan aur uske sangeen nataij se bachata hei. Heart Attack ke baad mareez ko Angoor ka ras pilana bohat mufeed saabit hota hei.

Kuch mazeed Angoor ke faide


Dama ke mareezo ke liye bhi Angoor fayda mand hei. Dr. Old Field Angoor aur uske ras ko Dama ka moassar ilaj qarar dete hein. Unka khayal hei ke Dama ke mareez ko agar Angooron ke baagh mein rakha jaye, to woh bohat jald sehatyaab ho jaata hei.

Angoor mein Paani aur Potassium kaafi miqdar mein paye jaate hein. Is waja se yeh munfrid qism ki Peshab Aawar salahiyat rakhta hei. Choonke is mein Albumin aur Sodium Chloride ki qaleel miqdar payi jaati hai, is liye yeh Gurdon aur Masana ki Sozish aur Pathri ka bhi khatma karta hei.

Aik mufeed mazmoon Pista ke Fayde

Masoorhon ki Sozish ka behtreen ilaj Angoor khana hei. Kiunke Angooron ka naamiyati tezab moassar qism ka Jaraseem kush hota hei. Maahireen ke mutabiq agar Masoorhon se peep aa rahi ho aur saare daant hil rahe hon to aap chand din tak sirf Angooron ko ghiza ke tor per istemal kerte raho. Is amal se Daant aur Masoorhe mazboot ho jayen gay aur Peep aana band ho jaye gi.

Angoor mein aik ehem compound daryaft hua hei. Jisko Vitamin P ka naam diya geya hei. Yeh aik aisa chemiyai juz hei jo Diabetes se paida shuda khoon ko behne se rokta hei. Jism ke wurm aur nasson ki soojan ko kam karta hei.

Kache Angoor ka ras Gale ki kharabiyo mein mufeed samjha jaata hei. Angoor ke patte Ishaal ko rokte hein. Angoor ka Sirka Mayda ki kharabi ki aik umda dawa hei.

Angoor khaane mein ahtiaat


Jin logon ka mizaaj garm ho unke mizaaj mein iske khaane se garmi barh jaati hei. Aise log isko khaane ke baad ooper se Shikanjabeen pee lein. Yaa koi khatti cheez maslan Anardaana khaa lein, to phir aisa nahi hoga. Albatta jis Angoor mein thora khatta pan ho woh garmi peda nahi karta.

Agar Angoor khaane ke baad kisi ka pait phool jaata ho to usko chahiye ke iska chilkaa thook diya kare. Agar phir bhi pait phoolta ho to ooper se Zeera yaa koi aur haazim cheez kha li jaye. Aise log Kacha Angoor khaane se bhi parheiz karein.

Angoor ke faide aur bhi bohat se hein. Lekin jo ziyada ehem hein woh ham ne beyan karne ki koshish ki hei.

Angoor Ke Faide in Urdu Hindi

Post a Comment

Previous Post Next Post