Dangi ya Dengue Bukhar ki Alamat Ilaj aur Bachne ke Tarike


Dangi Bukhar ki Alamat Ilaj aur Bachne ke tarike
Dengue ya Dangi Bukhar koi naya marz nahi hei. Yeh aik makhsoos qism ke machar ke kaatne se insani jism mein daakhil hota hei. Iska ziyada tar shikar Asiai mumalik ke log hein. Lekin ghubrane ki koi baat nahi, yeh mukammal taur par aik qabil e ilaj marz hei.

Dangi Bukhar ki alamat


Is marz mein mareez ko taiz bukhar ke saath saath sir mein bohat sakht dard hone lagta hei. Blood pressure bohat kam ho jaata hei. Jism achanak bohat thanda ho jaata hei.

Ghutnon mein takleef aur joron mein bhi dard hona shuru ho jaata hei. Jism insani ki Quwat e Mudafeyat taqreeban khatam ho jaati hei. Surkh rang ke dhabbe poore jism par zahir hone lagte hein.

Dangi Bukhar ke Marahil


Dangi Bukhar ke 4 marahil hote hein. Ibtadai 2 marahil mein ilaj aasani se ho sakta hei. Lekin aakhri dono Marahil mein jaan bachana namumkin ho jaata hei. Yeh chaaron marahil neeche byan kiye gaye hein.

Pehla marhala, Mareez ko shadeed Bukhar aur ooper byan karda alamaat bhi zahir hone lagti hein.

Doosre marhale mein pehle marhale ki alamaat ke saath saath bari Aant, Masoorhon aur jild se khoon behne lag jaata hei.

Teesre marhale mein Nizam e Dauran e khoon bhi shadeed taur par mutassir hota hei.

Chothe marhale mein mareez ke liye takleef na qabile bardasht ho jaati hei. Aur Quwat Mudafeyat ke naa hone ki wajha se woh kai beemariyon ka shikar ho jaata hei.

Dangi Bukhar se bachao ke liye ahtiyati tadabeer


W.H.O ke mutabiq duniya bhar mein jitni bhi amwaat hoti hein, un mein Dangi Bukhar se hone waali amwaat ka tanasub 4% hei. Sirf ahtiyat se hi is marz se mukammal bachao mumkin hei.

Chunke Dengi marz ko phelaane waale Machar sirf saaf paani mein rehna pasand karte hein. Isliye apne gharon aur baagheecho mein kaheen par bhi saaf paani ko khada mat hone dein. Saaf paani ke tamam bartan dhaanp kar aur water tank ko hamesha dhakkan laga kar rakhein.


Machar maarne waale spray ka baa qaydgi se istemal karein. Aur ghar ke har kone aur bistron aur Sofa set ke neeche spray laazmi kiya karein.

Dangi ke Machar ziyada tar Suraj ke nikalne aur doobne ke auqat mein hi hamla aawar hote hein. Isliye in auqat mein khasoosi ahtiyat kiya karein.

Machar daani aur Machar bhagane waale lotion ka istemal bhi aik achi ahtiyat hei.

Dangi Bukhar ka ilaj


Kamzor Quwat mudafeyat ke haamil log, kam sehat mand afraad, Boorhe log aur Bache Dangi marz se zyada mutasir hote hein. Albatta jadeed researches ke mutabiq yeh Bukhar itna khatarnaak nahin jitna is ko samjha jaata hei. Zaroori dekh bhaal aur baa qayda ilaj se sirf aik hafte se do hafte ke dauran mukammal shifa haasil ho jaati hei.

Tibbi mahireen ki research ke mutabiq, Dangi Bukhar ke ilaj ke liye Papeete ke patte aur Shehed yani Madhu ka istemal behtreen saabit hua hei.


Hamare piyare Rasool (Sall ALLAH o alaihe Wa aalehi wasallam) Shehed ko Paani mein hal kar ke peena pasand farmaate thay. Bilkul isi tarha aik cup neem garam paani mein aik chamcha Shehed mila kar din mein 3 baar khane se kuch deir pehle mareez ko pila diya karein.

Papeete ke patton ka rus nikaal kar subha aur shaam pilana bhi Dangi Bukhar ka Shaafi ilaj hei.

Bakri ka Doodh bhi is marz mein nehayat mufeed saabit ho sakta hei. Mareez ko din mein baar baar Bakri ka doodh pilaate rehna chahiye.

Hamain ummeed hei ke Dangi Bukhar ki alamat aur ilaj ke baare mein yeh maloomat aapke kaam aayen gi.

Dengue Bukhar ki Alamat Ilaj aur Bachne ke tarike

1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post