Charmagaz benefits ya Char Magaz ke fayde maloom karne ke liye yeh mazmoon mukammal parhiye. Char magaz darasal char qisam ke phalo ke beej ki giri ya magaz hote hain. Jab log bazar se inko khareedne jate hain to aksar dukandar unko aik hi qisam ke magaz de dete hain. Haala ke asal main Charmagaz ke ajza yeh hain.
- Kharbooza ke beejo ke magaz ya giri
- Tarbooz ke beejo ki giri
- Kaddu ke beejo ki giri
- Kheera ke beejo ki giri
Jab bhi aapko inki zaroorat ho to in charo qisam ke magaz ko alag alag hamwazan khareed kar mila liya kejiye. Inke istemal ka acha tareeqa yeh hai, ke in charo magaziyat ko hamwazan miqdar main lekar grinder main pees kar rakh lejiye. Aur subha shaam aik aik chammach Doodh ke sath lejiye.
Charmagaz benefits ya Char Magaz ke fayde in roman Urdu Hindi
Char Magaz ALLAH paak ki aik aisi nemat hai, jo jism ke andar se garmi ke sath sath khushki ka bhi khatma karti hai.
Dimaghi kamzori ke mareez aur woh log jinko bhoolne ka marz ho, unke liye behtreen dawa hain. Dimagh ko taqat war banate hain. Sabaq yaad karne waale talba o talibaat, ya Quran e pak hifz karne wale logo ko iske istemal se bohat fayda hota hai. Aise log subah o shaam aik chammach Charmagaz ka powder Doodh ke sath khana apna mamool bana lain. Aur kuch arse baad iska kamal dekhain.
Char magaz jild ki khushki ko khatam kar ke chehre ki ronaq ko bahaal karte hain. Jin khwateen ke face par chhaiyan hon, agr woh bhi inka istemal rozana karain to unka chehra saaf ho jaey ga.
Sheer khwar bacho ko Doodh pilane wali khwateen ko aksar Doodh kam aane ki shikayat ho jati hai. Aisi khwateen bhi agar subah o sham Char magaz pees kar Doodh ke sath istemal kiya karain to insha ALLAH unke Doodh main izafa ho jae ga. Iske ilawa paida hone wale bache ka dimagh bhi taiz ho ga.
Nazar ki kamzori door karne ke liye Char Magaz ka istemal Badam aur Saunf ke sath kiya jaa sakta hai. Is maqsad ke liye 100 gram Badam aur 30 gram Saunf le kar inko grinder main pees kar rakh lain. Rozana raat ko sone se pehle iska aadha chammach le kar iske sath aadha chammach Char magaz ka powder mila kar Doodh ke sath istemal karain. Is nuskhe ke baqayda istemal se insha ALLAH nazar ki kamzori door ho jaey gi.
Yeh bhi janiye, Amla ke fayde iske juice aur khushk Amla ke powder ke fawaid
Dil ki kamzori door karne ke liye bhi subah o shaam Char Magaz ka istemal bohat mufeed hai.
Yeh na sirf Jigar ki garmi khatam karte hain, balke Mayde ki garmi aur khushki ko khatam karne main bhi Charmagaz madad karte hain.
Pathon ki kamzori aur khichao door karne ke liye bhi Charmagaz ka safoof Doodh ke sath subah o sham istemal karna bohat mufeed hai.
Hamain umeed hai ke Charmagaz benefits in urdu ya Char Magaz ke fayde ka yeh mazmoon aapko pasand aaya ho ga.
Iss nuskhay mein bohat sy jismani faiday btaye gye hain jahan tk mein ne smjha is mazmoon ko. Sb sy zayada mjhy is mein faida dimaghi kamzori ka behtar laga. ku k dimaghi kamzori k sir par he sary jism ka nizam chalta hai. Mein shukur guzar hon k ap ne faida mand mazmoon hum logon k sath share kiya.
ReplyDeleteonline medicine store in lahore
Post a Comment