Wednesday, April 4, 2018

Amla Ke Fayde Khushk Amla Powder Ke Fawaid

Amla Ke Fayde iske Juice aur Khushk Amla Ke Powder Ke Fawaid Janiye
Amla Ke Fayde is mash-hoor qaul se sabit hote hein. Yani 'Amle ka khaya aur bazurgo ka kaha baad mein zahir hota hei'. Matlab yeh ke iske fayde baad mein saamne aate hein. Is gol shakal ke phal mein quwat aur tawanayi ka khazana chupa hua hei. Yeh beshumar amraz ke ilaj mein moassar hei.

Amla ki taseer sard, khushk aur Peshab aawar beyan ki gayi hei. Lekin yaad rakhiye ke khushk mizaj waale phal qaabiz hote hein. Iska zayqa tursh aur kaseela hota hei. Yeh aam tor par medicines mein ziyada use kiya jaata hei. Khas tor par hair Tonics mein iska istemal bohat ziyada hei. Jabke sabzi ke tor per use karne ke ilawa iska Achar aur Murabba bhi banaya jaata hei.

Amla ke ghizayi ajza


Taza Amla mein 80 % Paani, Protein, Vitamin B, C, Calcium, Iron aur Phosphorus achi miqdar mein paye jaate hein. Is mein doosre tamam phalo se ziyada miqdar mein Vitamin C paya jaata hei. Amla se ziyada fayda haasil karne ke liye zaroori hei ke isko namak ke sath kacha khaya jaye. Is tarah se is mein maujood Vitamin C aur doosre minerals zaiya nahi hote.


Is mein bhari miqdar mein paaya jaane waala iron juzwe badan ban jaane ki salahiyat rakhta hei. Deegar zariyo se jo Iron haasil hota hei woh haazme mein kharabi aur Aanto mein sozish paida kar sakta hei. lekin Amla se jo Iron haasil hota hei woh saaf khoon ki pedayish ke liye best hota hei. Jabke yeh pait ko kharab bhi nahi hone deta. Albatta yeh thoda sa qaabiz hota hei.

Amla ke Fayde in Hindi Urdu


Isko ba qaydgi ke sath khane waalay log sehatmand aur lambi umar paate hein. Is mein aik aisa maada paaya jaata hei jo Budhaape ke aasar ko khatam kar ke taqat ko qayim rakhta hei. Amla aapko har marz se bachata hei aur aapki umar 100 saal tak jaa sakti hei.

Amla jism ke bohat se Ghadoodo ko mutaharrik karta hei. Dil ke amraaz mein iska istemal behad mufeed hei. Dil ke mareezo ko chahiye ke 3 daane Amle ke har roz kha liya karein. Agar Dil kamzor ho ya dharkan taiz ho jaati ho to Amle ka Murabba use kejiye. Is se aapki yeh kamzori door ho jaye gi.


Hath paaoon ki jalan, Nakseer aur jismani hiddat mein Amla ka istemal mukammal aaram deta hei. Jee matlana, Badhazmi, Khatte dakar aur Ishaal ho to yeh phal behtreen shaafi hei. Sar ka dard, sar chakrana, Dimaghi kamzori aur sar ke tamam amraaz ke liye Amla zabardast dawa hei.

Is aala phal ke kuch daane raat bhar ke liye paani mein bhigo kar rakh dejiye. Subha is paani se aankho ko dhoya jaye to aankho ki laali, Jalan aur nazar ki kamzori mein fayda hota hei. Aur agar is paani se sar ko dhoya jaye to Dimaghi kamzori aur sar chakrana theek ho jaye ga. Neez baal bhi narm-o-mulayim ho jaye gay.

Amla ka Juice ya Rus ke Fayde


Aap Amla ka Juice nikaal kar istemal kar sakte hein. Is maqsad ke liye Amlo ko kaat kar Guthliya alag kar lejiye. Phir kaate hue Amlo ko Juicer machine mein daal kar inka juice nikaliye. Aik kilo phal se lag bhag 2 glass juice nikal aye ga. Ab is juice ko kisi bottle mein daal kar fridge mein mehfooz kar dejiye.

Is juice aur Shehed yani Honey ka aik aik chamach 1 glass Paani mein mix kar ke roz subha pee lejiye. Aapko din bhar chaak-o-choband rakhe ga. Yeh antioxidants se bharpoor sharbat aik nehayat aala dawa ka kaam bhi karta hei. Is mein Diabetes aur Cancer samait beshumar amraaz ke khilaf ladne ki salahiyat hei. Cholesterol level ko theek karne ke ilawa wazan kam karne mein bhi moassar hei.

Jismani kamzori ka shikar log Amle ke juice aur Shehed ka aik aik chmach mix kar ke roz subha use karein. Yeh amal unki jismani kamzori door kar de ga. Sirf 2 hafte mein hi unke jism mein bharpoor tawanayi peda ho jaye gi.

Amla ke Juice mein Misri mila kar peete rehne se in beemariyo mein mukammal aaram milta hei. Rehem ki jalan aur beemariya, Masanay ki garmi, Peshab ki jalan ya ruk ruk kar aana aur Sozak.

Amla ka powder ya Khushk Amlo ka Safoof


Agar Taza Amla na mil sake to kisi Pansaar store se khushk Amlo ka powder ya safoof le lejiye. Aap yeh powder khud bhi tayyar kar sakte hein. Iske liye jab taza Amle mil jayen to unko kaat kar dhoop mein khushk kar lejiye. Iske baad grinder mein pees kar mehfooz kar lejiye. 

Yeh powder Amla ke juice ya rus ke mutabadil ke taur par use kiya jaa sakta hei. Jab is powder ko Shehed ke saath milaya jaye to aik umda majoon tayyar ho jaati hei. Is dawa se Phaiphro ke amraaz bhi theek ho jaate hein.

Bawaseer ke mareez agar yeh powder Gaaye (Cow) ke doodh ke saath subha aur sham use karein to bohat fayda ho ga. Bacha dani se khoon aata ho to din mein 3 ya 4 baar Amla ka powder paani ke saath khilane se marz door ho jaata hei. Is powder ke 2 chamach rozana roti ke saath khane se Budhapa door rehta hei. Agar jism mein kaheen Pathri ki shikayat ho to is powder ko Mooli ke juice mein mila kar use kejiye.

Agar is khushk Amla ke powder ko Manjan ke taur par use karein. To is se Daanto se khoon aana, Daant dard aur Daant hilne mein aaram aa jaata hei. Chot lagne se agar khoon band na ho to yehi powder zakham par daal kar patti baandh lejiye. Khoon ruk jaye ga neez is powder se Phoday bhi jald theek ho jaate hein.

Balo ki sehat ke liye


Balo ki mazbooti aur sehat ke liye Amla se behtar koi aur cheez nahi. Isko chahe khaya jaye ya iska paste Balo ki roots mein lagaya jaye, dono tarha se faydamand hei. Yeh balo ki roots ko mazboot karta hei aur inke natural color ko qayim rakhta hei.  Iske regular istemal se Ganje pan ka khatma ho jaata hei.

Amlo ko pees kar paani mein milaiye. Ab is paani se sar dhoya jaye to baal girna band ho jaate hein aur inki siyahi bhi qayim rehti hei. Amla ke powder ko paani ke saath mila kar Balo ki roots mein laip kar dejiye. Thori dair ke baad sar dho lejiye. Is se bhi baal khoob mazboot ho jayen gay.

Amla ke fayde yaqeenan hairat angeiz hein.

Amla Ke Fayde iske Juice aur Khushk Amla Ke Powder Ke Fawaid Janiye

Related Posts

1 Comments:

May 17, 2023 at 3:50 PM delete

Nice blog, Thank you for sharing the valuable information.
Keep it up!

Reply
avatar