Showing posts with label Health Tips. Show all posts
Showing posts with label Health Tips. Show all posts

Sunday, September 10, 2017

Aalu Bukhara Ke Fayde in Urdu Hindi

Aalu Bukhara Ke Fayde in Urdu Hindi Jo Aap Ko Hairan Ker Dain

Aalu Bukhara ke fayde shumar karna mumkin nahi. Yeh aik aisa phal hei jo apne ander be intaha tibbi fawaid rakhta hei. Yeh aik Anti oxidants se bharpoor phal hei. Is mein Proteins, Calcium, Phosphorus, Iron, Nishasta daar ajza, Vitamin A, B aur C kaafi miqdar mein paye jaate hein. 

Aik paao Aalu Bukhara mein 2 roti Ke brabar taqat hoti hei. Insani mayda isko 2 se 3 hours mein hazam kar leta hei. Garam mizaaj logon, beemaari ke baad kamzor ho jaane waale logon aur haamla khwateen ke liye yeh aik anmol Naimat hei.  Jabke is mein mojood Vitamin B6 hamare Aasabi nizam ko mazboot banata hei.

Aalu Bukhara ke fayde in Hindi Urdu


Aalu Bukhara ka mizaj sard aur Tar hei. Iske regular istemal se Cholesterol ko bhi kaafi had tak control kiya jaa sakta hei. Dimagh Ke liye yeh aik behtreen tonic hei. Bud mizaaj logo Ke liye bhi behad mufeed ghiza hei. Kiunke iske istemal se mizaaj khush gwaar ho jaata hei

Khushk Aalu Bukhara munh mein rakh ker choosne se Matli aur Ulti aane ki kefiyat khatam ho jaati hei. Haamila (Garvpati) khwateen ki matli aur Ulti mein iska khana bohat mufeed hei.

Yeh zaroor parhiye Kishmish Health Benefits

Masana ki hararat aur khoon ki tezabiat door karne ke liye yeh phal bohat mufeed saabit hua hei. Jin logon ke haath pair jalte hon, Paakhana khul kar naa aata ho, subha jaagne par munh ka zayqa kardwa lage, dakaar aate hon aur Qabz ki shikayat ho, unko chahiye ke iske mausam mein rozana subha ka naashta isi phal se kiya karein. 1 se 2 hafton mein hi unki yeh shikayaat door ho jaye gi.

Aalu Bukhara khaane se charbi bhi tehleel ho jaati hei. Jin logon ko aksar pait mein gas ki shikayat rehti ho, yaa jin logon ka pait bardha hua ho, woh log naashte mein sirf yeh phal khayen. Iske saath saath Meethi aur tali hui cheezein khaana chhor dein. Aur din mein 2 baar lemon ki Shikanjabee pee liya karein to chand hi hafton mein bardha hua pait kam ho jaye gaa.

Neend ki kami ka shikar logo ko achi neend ke liye iska istemal regular karna chahiye. Agar aap ko aksar Zehni dabao yaa tanaao ho jaata hei, to aap kisi bhi medicine ki bajae Aalu Bukhara kasrat se khana shuroo ker dein. Chand hi din mein aap kaafi behtri mehsoos karein gay. 

Jild ki beemario mein Aalu bukhara ke istemal ke sath aik glass Sharbat e Unnab rozana peene se fayda hota hei.

Yeh bhi parhiye  Anjeer Ke Fayde

Agar aap apne Pitte mein pathri ban-ne se rokna chahte hein, to Aalu Bukhara rozana khana apna maamool bana lein. Agr iska mausam na ho to khushk Aalu bukhara ko hi bhigo kar istemal kar liya karein. Is amal se to baaz oqaat pitte mein mojood pathri bhi pighal ker nikal jaati hei. Jabke yeh Gurda aur Masana ki pathri ko bhi tor deta hei.

Maahireen Ke mutabiq khushk Aalu Bukhara ka istemal aap ko Aanto Ke cancer se bachata hei. Is mein kuch aise anti oxidants paye jaate hein jo Cancer Ke khatraat ko naa sirf kam karte hein, balke Cancer hone ki soorat mein is marz Ke ilaaj mein behtri aa jaati hei.

Jabke Blood Cancer Ke marz mein bhi iska istemal behad mufeed hei. Yahan tak Ke agar Cancer early stage mein ho to sirf iske regular khaane se hi theek ho jaata hei.

Aik aur mufeed mazmoon  Kaju Ke Fayde

Woh log jo Gurdo ke mareez hein yaa woh jinko Peshaab ruk ruk kar aata ho, unke liye Aalu Bukhara ka istemal akseer hei.

Aalu Bukhara ka aik nihayat kaar aamad Nuskha


5 daane khushk Aalu Bukhara, 7 daane Munaqqa yaani bari Kishmish lejiye jiske beej nikaal diye gaye hon. Aur 1 chamcha Saunf le kar in sab ajza ko 1 glass neem garam paani mein raat ko bhigo kar rakh dein. Subha uth ke in sab ajza ko masal ker chhan lein aur pee lein.

Yeh nuskha High Blood Pressure, Matli, Ulti, Badhazmi, Bhook naa lagna, Qabz, Sar dard aur aadhe sar ke dard ke liye behad fayda mand hei. Jigar ki kamzori aur Yarqaan ki baaz qismon mein bhi yeh aik kaar aamad nuskha hei.

Nuskha istemal kerne mein ahtiyat


Agar is nuskhe ke istemal se paakhana ziyada aane lage to is mein se Munaqqa ko nikaal dejiye. Iske ilawa jin logon ko Khansi yaa nazla rehta ho, yaa Gala kharab rehta ho, woh is Nuskha ko istemal naa karein. Jabke sakht sardi ke mausam mein bhi is nuskhe ko istemal karne se guraiz karein.

Aalu Bukhara ke fayde yaqeenan hairat angeiz hein.

Aalu Bukhara Ke Fayde in Urdu Hindi Jo Aap Ko Hairan Ker Dain

Tuesday, July 11, 2017

Pista ke Fayde Pistachio Benefits in Hindi Urdu

Pista ke Fayde in Hindi Urdu

Pista ke Fayde ya Pistachio Benefits beshumar hein. Yeh un chand ghizaon mein shamil hei jo mukammal Insani sehat ke hawale se apne ander bohat ziyada ghizayi afadiyat rakhti hein. Mukammal fawaid maaloom karne K liye yeh article aakhir tak parhiye.

Pista ke Fayde in Hindi Urdu


Yeh Aaza e Raisa yani Dil, Dimagh aur Jigar K ilawa stomach yani Mayde K liye bhi nehayat mufeed hei. Kidneys ko Taqat deta hei. Dil ki ghubrahat aur Khansi mein fayda mand hei. Balgham ko door karta hei. Wabayi Amraaz se hifazat karta hei. Daant aur Masoodhon ko mazboot banata hei.

Lekin yeh Qaabiz bhi hota hei. Iska istemal aik had Ke ander reh kar kerna chahiye. Pista mein mundarja zail Ghizayi ajza paye jaate hein:

Proteins, Carbohydrates, Fiber yani Raisha, Fats, Potassium, Phosphorus, Iron, Magnesium, Calcium, Copper, Manganese, Zinc, Selenium, Vitamin A, Vitamin B-6, Vitamin C, Vitamin E, Vitamin K, Thiamine, Niacin, Riboflavin, Beta-carotene, Zeaxanthin, Lutein, Pantothenic acid aur folate. Yeh tamam ajza Pista ko aik behtreen ghiza banate hein.


Yeh baat khaas tor par qaabil e zikr hei ke Pista mein phosphorus aur potassium ki bhaari miqdar payi jaati hei. Jo baqi Dry fruits ki nisbat ziyada hei. Jabke is mein Protein ki miqdar bhi baqi tamam Dry fruits ke muqable mein bohat ziyada hoti hei. Har 1 ounce Pista mein 6 Gram Protein hoti hei. Is lehaz se yeh aik Protein rich ghiza hei.

Pista mein doosre khushk meva jaat ke muqable mein kaafi kam calories payi jaati hein. Aik ounce Pista mein 160 Calories hoti hein. Yehi waja hai K yeh diet karne wale logon K liye behad mufeed hota hei. Apni low calories, low fats aur high protein ki waja se yeh wazan kam karne waale logon ki bhi awaleen pasand hei.

Pista khana Dil ki sehat K liye mufeed hei. Researches kehti hein K is mein Fats ki miqdar kaafi kam hoti hei. Yeh mono-unsaturated fatty acids ke hasool ka bhi aik ehem zariya hei.


Agar aap isko baa qaydgi se istemal karo to yeh aap K muzre Sehat cholesterol yani (LDL) ko kam karta hei. Balke yeh aap K jism mein mufeed cholesterol yani (HDL) mein Izafa karta hei. Khoon mein Clots nahi ban-ne deta aur Sharyaano yani Veins K tang hone K amal ko rokta hei. Yun aap isko Dil ka dost bhi keh sakte hein.

Pista ke mazeed fayde


Pista mein mojood Copper aap K jism mein ghiza se haasil hone waale Iron ko jazab karne mein madad karta hei. Jis ki waja se jism mein khoon ki kami nahi hone paati aur Anemia jaise marz se bachao mumkin ho jata hei.

Jabke is mein sodium yani Namak ki miqdar bhi na hone K barabar hoti hei. Jiski waja se yeh hypertension yani High Blood Pressure ke mareezon K liye bhi mufeed hei.

Pista ka istemal insani jild ke liye bhi mufeed hei. Is mein shamil carotenoid antioxidants barhti umar ke asraat ko jild par zahir hone se rokte hein. Yeh jild ko khushki se bhi bachata hei.

Pista khana Sugar ke marz mein bhi mufeed hei. Sugar ke mareez ke jism mein Sugar Proteins ke sath mil kar us ko naqabil e istemal bana deti hei. Is amal ko glycation kaha jaata hei. Pista mein mojood antioxidants is amal ko kam karte hein. Jiski waja se Sugar ke mareez ko fayda hota hei.

Aik research K mutabiq Pista aadmi ki Jinsi quwat ko bhi barhata hei. Is research ke doran 3 hafte tak matwatar 100 gram Pista khaane waale mardon ki jinsi karkardgi mein 50% izafa note kiya gya. Aur is izafe ki tasdeeq ultrasound K zariye bhi ki gayi. Jis mein mardana jinsi Aaza ki taraf khoon ka flow check kya gya.

Pista ke Fayde jaan lene ke baad ham logo ko ALLAH ka shukar ada karna chahiye, jis ne hamein yeh naimat ata farmayi.

Pista ke Fayde in Hindi Urdu

Saturday, May 27, 2017

Kaju Ke Fayde Cashew Benefits in Hindi Urdu

Kaju Ke Fayde Cashew Benefits in Hindi Urdu

Kaju Ke Fayde ya Cashew Benefits bohat se hein. Yeh Barr-e-Sagheer ke janglaat mein kaasht kiya jaane waala aik mashhoor darakht hei. Zayqe ke lehaz se yeh aik behad lazeez aur shirin khushk meva hei.

Agar ham Giri daar meva jaat ka aitdal ke sath istemal karein, to hamari ghiza bari had tak mutawazan ho jaye gi. Kiunke yeh Protein, Vitamins, Minerals aur Maan-e-Takseed ajza yani Anti Oxidants se bharpoor hote hein.

Kaju Ke Fayde Cashew Benefits in Hindi Urdu


Kaju ka mizaj Garm aur Tar hota hei. Is mein chiknayi ki miqdar bohat ziyada hoti hei, lekin yeh jism ke liye mufeed chiknayi hei. 100 Gram Kaju mein taqreeban 600 Calories aur 60 Gram chiknayi hoti hei. Is chiknayi se Ghadoodon aur Uzlaat ke afaal ko fayda hota hei.

Kaju ki shakal Insani Gurde yani Kidney se milti hei. Iska baqayda istemal hamare Gurdon ko mazboot aur sehatmand banata hei.


Kaju insani jism ko farhat aur taazgi bakhshta hei. Dil ko taqatwar banata hei. Minni aur Quwat-e-Baah mein izafa karta hei. Aqal aur Dimagh ko qawi kar ke Quwat-e-Haafza barhata hei.

Agar isko nihar munh pees kar Shehed ke sath mila kar chaat liya jaye to Nissyan yani bhoolne ka marz door ho jata hei.

Kaju mein Magnesium aur Potassium ki bhi kafi ziyada miqdar payi jaati hei, jo Blood Pressure ko normal rakhne mein madadgar hoti hei. Is waja se Khoon ki sharyanein sukadti nahin.

Megnesium dil ke ridham ko mustehkam rakhta hei. Iske ilawa yeh Hadiyon aur Daanton ki mazbooti, Muscels, Aasaab aur Aanton ki sehat ke liye bhi nehayat ehem hei.

Kuch mazeed Kaju ke fayde


Kaju mein Copper, Mangneiz, Phosphorus, Zinc aur Vitamin B bhi paye jaate hein. Isko khane se jism ki thakan door hoti hei. Jabke yeh wazan kam karne mein bhi madadgar hei.


Kaju Ziabitus yani Sugar ke ilaj mein bhi intehayi mufeed hei. Is mein aise ajza hote hein jinki waja se blood mein shamil Insulin Uzlaat ke khulyon mein jazab ho jati hei. Iske ilawa is mein maujood Potassium ki waja se jism ko Sugar ka level barqarar rakhne mein madad milti hei. Yun jism mein Sugar barhne nahi paati.

Kaju ke fayde aap ko dawat dete hein ke aap is dry fruit ko apni ghiza ka hissa zaroor banaiye.

Kaju Ke Fayde Cashew Benefits in Hindi Urdu

Saturday, May 13, 2017

Kishmish Health Benefits Ya Khane Ke Fayde

Kishmish Health Benefits Ya Khane Ke Fayde

Kishmish Health Benefits ya Kishmish khane ke fayde jaan ker aap hairan reh jayen ge. ALLAH ki yeh naimat apne ander be intaha tibbi fawaid rakhti hei. Angoor jab khushk ho jaate hein to Kishmish ban jate hein. Rangat ke lehaz se iski 4 iqsam hoti hein. Surkh, sabz, sufaid aur siyah. Sabse behtreen qism sabz yani green color wali samjhi jati hei.

Kishmish Health Benefits ya Kishmish khane ke fayde


Kishmish tawanayi ke hasool ka aik behtreen zariya hei. Agar aap ko jismani kamzori mehsoos ho rahi ho ya aap thakawat ka shikar hein to yeh Kishmish ke istemal ka behtreen waqt hei. Yeh kamzori ko door kar ke jismani tawanayi ki satah ko barha deti hei. Jabke is mein Antioxidants bhi bohat ziyada miqdar mein paye jaate hein.

Yeh naa sirf Calcium se bharpoor hoti hei balke is mein aik aisa ansar bhi paaya jaata hei jo Calcium ko Jism mein jazab karne ka kaam karta hei. Jiski waja se hadiyan mazboot hoti hein. Calcium ki kami ka shikar log isko agar doodh ke saath istemal karein to yeh sone par sohaaga ka kaam kare ga.

Yeh Quwat e Baah yaani mardana taqat mein bhi izafa kerti hei.

Cholestrol kam kerne mein bhi madad kerti hei. Iska rozana ba qaydgi se istemal jism mein muzre sehat Cholestrol yani LDL ko barhne se rokta hei.

Yeh aik raisha yani Fiber se bharpoor meva hei. Is mein Tartaric Acid bhi paaya jaata hei, jiske asraat halke Julaab jaise hote hein. Is mein paye jaane waale Raishe ki yeh khasoosiyat hei ke yeh paani ki maujoodgi mein phool jaata hei. 

Isi waja se yeh ghiza ko zood hazam bana kar Qabz nahi hone deta. Balke ghiza mein shamil mukhtalif nutrients ko juzwe badan banane mein ehem kirdar ada kerta hei. Matwatar 15 din tak meethi Kishmish khate rehne se purani Qabz mein mufeed sabit hoti hei.

Jo log wazan kam karne ke liye warzish karte hein agar woh warzish ke sath Kishmish bhi istemal karein to bohat fayda ho ga. Is mein Carbohydrates bhi shamil hote hein jo bhook lagne ke ehsas ko kam karte hein.

Isko pabandi ke sath khaya jaye to jism mein doran e khoon ka nizam behtar ho jata hei. Is mein mojood Iron yani Faulad doran e khoon ko munazzam karne mein madad karta hei. Is mein aik aisa chemical paaya jaata hei jo jism mein kharab cells ki waja se ban-ne waale zarrat ka khatma karta hei.

Faulad aur deegar madniyat ke ilawa is mein Vitamin C bhi mojood hota hei jo ke madniyat ko jazab karne mein madad karta hei. Is waja se ye Balon yani hair ko qabal az waqt sufaid hone se rokta hei. 

Kuch mazeed Kishmish khane ke fayde


Kishmish mein aik aisa keemyai mada paaya jaata hei, jo insani jild ko taiz dhoop ke muzir asrat se mehfooz rakhta hei. Is mein mojood Amino acids ki waja se jild par aik teh si ban jati hei jo suraj ki muzir kirnon ke ilawa jild ke Cancer se bhi hifazat karti hei. 

Is mein shamil Kolajen naami juz ki waja se yeh jild ko lachak dar banata hei. Aur dheela padne se rokta hei, jis se jild per jhuriyan nahi padti.

Mazboot Danton aur sehat mand Masoodhon ke liye Kishmish ka ba qayda istemal tajweez kiya jaata hei. Is mein mojood Linoleic acid danton par Plaque ban-ne nahi deta. Jabke Calcium ki waja se daant mazboot ho jate hein.


Bachon ko tandrust o tawana rakhne ke liye Kishmish aik behtreen Tonic ka kaam kar sakti hei. Agar aapke Bache susti ka shikar rehte hein to Kishmish khilane se un mein taqat aur chusti aa jaye gi. 

Khansi hone ki soorat mein Mulethi ke sath mila kar khilane se fayda ho ga. Bache mein Khoon ki kami ho to Khajoor ke sath mila kar khilaiye. Aur Qabz ki soorat mein raat ko Paani mein bhigo kar subah sawere khilaiye.

Agar aap kisi aise safar pr jaa rahe hein jahan Paani ka milna mushkil ho, to aap rawana hone se pehle agar Kishmish kha lein to bohat acha rahe gaa.

Kishmish Health Benefits ya Kishmish khane ke fayde jaan lene ke baad, aap yaqeenan isko apni ghiza ka hissa banana pasand karein gay.

Kishmish Health Benefits Ya Khane Ke Fayde

Wednesday, May 3, 2017

Akhrot Benefits Ya Khane Ke Fayde in Hindi Urdu

Akhrot Benefits Ya Khane Ke Fayde in Hindi Urdu
Akhrot benefits ya Akhrot khane ke fayde beshumar hein. Aik aisa dry fruit yani khushk phal, jisko chote bare sabhi pasand karte hein. Isko ghiza ke ilawa dawa ke tor par bhi khaya jata hei. Fayde jaan-ne ke liye yeh post mukammal parhiye. 

Yeh khushk phal Quwat aur Tawanayi faraham karne ke ilawa bohat se amraaz mein bhi mufeed hei. Yeh naa sirf Amraaz e Qalb, Dama, Khansi, Joron aur kamar ke dard aur Faalij mein mufeed hei, balke yeh har tarah ke Cancer ke hamle ko rokne mein bhi madadgar hei. Is ka mizaj Garm aur Tar hota hei.

Akhrot ke ghizai ajza


Akhrot mein Vitamin A, B aur C ke ilawa Iron, Copper, Phosphorus, Cobalt, Magnesium, Potassium aur kai deegar qeemti maadni ajza paye jate hein. Isliye yeh badan ki tameer aur murammat ke liye khas ahmiyat rakhta hei. 

Iske ilawa yeh Omega3 Fatty Acids ke hasool ka bhi aik ehem zariya hei. Akhrot mein maujood Arginine nami amino acid dil ki sehat ke liye nihayat mufeed hei.

Akhrot benefits ya Akhrot khane ke fayde in Hindi


Aik report ke mutabiq Akhrot ke rozana istemal se dil mazboot hota hei. Doctors ke mutabiq Akhrot mein kuch aise ajza paye jate hein jo jism se bure Cholesterol ko kam karne mein behad madad karte hein. Jiski waja se ache Cholesterol ki satah mein izafa ho jata hei. Aur is waja se heart attack ka khatra kam ho jaata hei.

Yeh bhi parhiye Badam Khane Ke Fayde

Agar koi Dil ka mareez hei aur us ke Dil ke muscels kamzor hein, to usko chahiye ke rozana 2 Akhrot khane ki aadat daal le. Jabke agar sehatmand log bhi 2 daane rozana khayen to woh hamesha amraz e Qalb se bache rahein ge.

Agar 5 Akhrot khaye jayen ya 3 Chaye ke chamach iska Tail pee liya jaye, to yeh sirf 4 hours mein Dil ki sharyano ko khol kar khoon ki rawani ko aasan banata hei. Jabke Joron ke dard ko kam karne ke liye bhi Akhrot ka tail aik mufeed cheez hei.

Akhrot ko baa qaydgi se khane se Insulin harmon ki karkardgi behtar ho jaati hei. Jis se Sugar yani Ziabitus ke marz mein behad fayda hota hei. Iske ilawa iske baqayda istemal se Ziabitus Type 2 se bari had tak mehfooz raha ja sakta hei.

Aik nehayat ehem juz


Akhrot mein shamil Omega 3 fatty acids nehayat ehem juz hei. Jo ke Dil aur Dimagh ki sehet ke liye intehayi ehem samjha jata hei. Iske ilawa yeh ghizai juz Dama, Joron ke dard, Agzima aur Chambal jaisi bimariyon se bhi hifazat karta hei. 

Jabke apne anti oxidants ki badolat Akhrot High blood pressure aur Zehni dabao ko kam karne ke liye intehayi madadgar meva hei. High blood pressure ke mareez har roz sirf aik adad Akhrot khane ki aadat bana lein, to is se unke jism mein woh Quwat e mudafeyat paida ho jaati hei jo is marz ka muqabla karne ke liye darkar hoti hei. 

Jabke iska baa qayda istemal is marz ki waja se peda hone waale zehni dabao ko kam karne mein bhi moassar hei.


Khawateen ke liye doran e hamal iska istemal nihayat mufeed hei. Is se hamila aurat ka blood pressure normal rehta hei. Aur paida hone wale bache ki beenayi aur dimaghi sehat ke liye behad mufeed hota hei. 

Qabz ke mareezon ko fauri sakoon pohanchane ke liye Akhrot behad mufeed ghiza hei. Jab isko khaya jaata hei to yeh Mayda yani Stomach mein pohanchne ke baad wahan maujood Fuzle ko harkat deta hei aur usko aage dhakel deta hei.

Kuch mazeed Akhrot benefits ya fawaid


Mardo mein Paishab ki naali ke sath aik Akhrot hi ke size ka Ghadood hota hei jisko Prostate Gland kaha jaata hei. Yeh mardana nizam e tauleed ka aik ehem hissa hei. 

Duniya bhar mein mardo mein Prostate Cancer ka marz aam paya jata hei. Yeh aik aisa jaan lewa marz hei ke jis se salana lakho afraad maut ka shikar ho jaate hein. 

Mahireen ke mutabiq agar rozana aadhe cup ke barabr Akhrot khaa liye jayen to yeh Prostate Cancer ke ilawa aurton mein paye jaane waale Breast cancer se bhi mehfooz rakh sakta hei.

Hamara Jism Melatonin naami aik harmon paida karta hei. Jo ke hamare sone aur jaagne yani Neend ke Nizam ko control karta hei. Aur isi ki waja se hamein achi Neend aati hei. Lekin agar iski kami ho jaye to hamari Neend bhi kam ho jaati hei.

Kya aap jaante hein ke Akhrot mein bhi yehi juz yani Melatonin paaya jaata hei. Isi waja se Neend ki kami ka shikar logon ke liye Akhrot aik bohat bari naimat hei.

Balo yani Hair ki mazbooti ke liye bhi Akhrot ka musalsal istemal fayda mand hei. Is mein shamil Vitamin B7 ya Biotin ki waja se Baal girna band ho jaate hein.

Yaha jo fawaid beyan kiye gaye hein, unke ilawa agar aap log kuch mazeed Akhrot benefits ka ilm rakhte hein, to please comments mein share kejiye.

Akhrot Benefits Ya Khane Ke Fayde in Hindi Urdu

Saturday, April 22, 2017

Benefits of Badam Khane Ke Fayde in Hindi Urdu

Benefits of Badam Khane Ke Fayde in Hindi Urdu

Benefits of Badam ya Badam khane ke fayde jaan-ne ke liye yeh poora article parhiye. Badam apni ghizayi afadiyat ki waja se Khushk Mevon ka Badshah kehlata hei. Ise poori duniya mein bari raghbat se khaya jata hei. Yeh bachon, jawanon aur boorhon ke liye yaksan mufeed hei. 

Badam mein woh sab Anasir waafir miqdar mein paye jaate hein jo insani Jism ke liye zaroori hote hein. Yeh aik aisi aala darja ki ghiza hei jis se jism aur Dimagh dono ko fayda haasil hota hei. Yeh bohat si beemariyo ka ilaj bil Ghiza hei.

Badam ke Ghizai ajza


Badam ke 100 Gram maghz mein Protein 20.8%, Madniyat 2.9%, Pani 5.2%, Fats 58.9%, Carbohydrates 10.5% aur Fiber 1.7% hota hei. Jabke maadni ajza mein Phosphorus 490 mg, Iron 4.5 mg, Calcium 230 mg, Nayasin 4.4 mg aur Vitamin B complex ki kuch miqdar shamil hoti hei. Is mein payi jaane waali chiknayi aik faydamand chiknayi qarar di jaati hei jo sehet ke liye mufeed hoti hei.

Badam se mutalliq kuch aur maloomat


Badam ka mizaj Garam Tar hota hei. Iski 2 iqsam hoti hein, Sheereen aur Talkh. Khane ke liye sirf sheereen qism ka istemal karna chahiye. Talkh qism ko khane se mana kiya jata hei.

Zaroori hei ke mausam ki munasibat se isko sahi tareeqa se istemal kiya jaye. Sardi ke mosam mein log isko aasani se hazam ker lete hein. Garmion ke mosam mein baaz garam mizaj ke logon ko yeh mawafiq nahi aata. Aise log iska istemal Sardai ki soorat mein kar sakte hein.

Isko khaane ka behtreen tarika yeh hei ke isko khoob chaba chaba kar khaya jaye. Taake is mein munh ka Luaab shaamil hota rahe. Is tarah yeh aasani se hazam ho sakta hei.

Benefits of Badam ya Badam Khane Ke Fayde in Hindi


Badam ki tmam khoobiyo ka daaro mdaar Copper, Iron aur Vitamin B1 ke tibbi kirdar par hei. Yeh ajza aapas mein milker twanayi ko munazzam krte hein. Inhi ajza ki waja se Dil, Dimagh, Aasab, Jigar aur hadiyon ki karkrdgi behtr ho jaati hei.
Badam khane se Aasab mazboot hote hein aur jism phalta phoolta hei. Is mein shamil Nishasta aur Protein ki waja se jism ko taqat milti hei. Yeh jism mein Charbi ko barhne nahi deta. Calcium ki waja se Daant aur Hadiyan mazboot ho jati hein. 


Jismani kamzori door kerne ke liye Badam intehayi mufeed hei. Saleh khoon peda kerta hei. Pooray badan ki khushki ko door kerta hei. Agar 12 daane Badam, 12 Gram Kishmish ke sath raat bhar paani mein bhigo ker rakhein aur subha nihar munh achi tarah chaba chaba ker khayen to jismani kamzori door ho gi.

Nazar ki kamzori ke liye aik nuskha bohat ziyada mustamal hei. Rozana raat ko sone se pehle 7 adad Badam, 6 masha Saunf, aur aik tola Misri ko pees ker Garam Doodh ke sath khaiye. Sirf 40 roz tak aisa karne se aap ki Ainak ya to utar jaye gi ya is ka number kam ho jaye ga. Khayal rahe ke sone se pehle is ki khurak lene ke bad paani nahi peena.

Beenai ke liye mufeed honay ke ilawa dimaghi kaam karne walon ke liye yeh aik naimat hei. Is mein hararon yani calories ki miqdar kafi ziada hoti hei.

Aasabi aur Dimaghi kamzori ki waja se agar aap thora sa kaam kar ke thak jaate hein to aise mein Badam ka istemal aap ki khoi hui quwat ko bahaal kar sakta hei.

Badam ke kuch mazeed fayde


Badam ke regular istemal se mardana taaqat mein izafa hota hei. Is maqsad ke liye Badam aur Bhune hue Chane brabar wazan mein le kar rozana chaba kar kha liya krein. Yeh amal Minni mein izafa karne ke ilawa Jinsi quwat ki bahaali mein madadgar saabit ho ga.

Sardi ke mausam mein agar band Nazle ki shikayat ho jaati ho to yeh nuskha use karein. 11 adad Badam le kar aik kapre mein lapait lein aur inko garam bhaap mein rakh dein. Kuch minutes baad nikal kar garm garm khaa kar band kamre mein lait jayen. Sirf chand hi din ke amal se band nazla theek ho jaye ga. Jabke sardiyo mein regular Badam khane se nazla ho ga hi nahi.

Wazan barhaane ke khwahish mand naujwan rozana raat ko 10 badam aur 2 tola sabz Kishmish ko paani mein bhigo kar rakh dein. Subah uth kar badam chheel kar Kishmish ke saath chaba kar kha lein. Aur iske baad aik Glass Doodh pee liya karein. 2 months tak regular aisa karne se wazan bhi barh jaye gaa aur sehet bhi achi ho jaye gi.


Aksar log jab kaafi der kaam karne ke baad achanak uth jaate hein to unka sir chakra jaata hei. Aur aankho ke saamne andhera saa aa jaata hei. Iski waja Dimaghi kamzori hoti hei. Aise logon ko chahiye ke rozana 10 adad Badam khoob chaba chaba kar khaa liya karein.

Jin logon ko Gale mein Balgham ki shikayat hoti hei, aise log agar rozana subah khaali pait 5 daane Badam ke saath 3 daane Kaali Mirch ke mila kar khoob chaba kar kha liya karein, to yeh shikayat door ho jaye gi. Jabke Gale ki kharash ki soorat mein Badam ko namak laga kar khoob achi tarah chaba kar khayen to fayda ho ga.   

Agar Badam ko Anjeer ke sath subha nihar munh khaya jaye to is se Aanton ki ghalazat door ho jati hei. Gharz yeh ke Badam ALLAH Taala ki aik behad qeemti naimat hei.

Badam ka Tail yani Roghan-e-Badam


Badam ka tail bhi nikala jata hei jo ke Qabz kusha hone ke ilawa Khushk khansi, Masana ki kharish aur Aanton ki sozish mein istemal kiya jata hei. Is Tail ko Doodh mein mila kar piya jaye to Aanton ki khushki ko door kar ke Qabz ka khatma karta hei.

Kamar mein dard ke liye raat ko sote waqt kamar par Roghan e Badam ki maalish karwaiye. Jabke khushk kharish ke ilaj ke liye bhi iski maalish mufeed hei.

Agar aik chamcha Roghan-e-Badam ko aik chamcha  Amla ke rus ke saath mila kar rozana sir par masaj kiya jaye to baal girna band ho jaate hein. Neez yeh baalo ko safaid hone se bhi rokta hei.

Agar aapke sir mein dard rehta hei to aik chamcha Badam ke tail mein aik maasha pisi hui Zafran mila dein. Ab isko din mein 2 ya 3 baar kuch dair ke liye soonghiye to dard mein aaram aa jae ga.

Sir par iski maalish karne se naa sirf Baal mazboot hote hein balke achi aur gehri neend aati hei. Garv pati mahelain yani haamila khawateen agar aakhri months mein isko rozana pee liya karein to bache ki wiladat mein aasani hoti hei. 

Iski talkh qism ka tail Cosmetics mein istemal kiya jata hei. Rang gora karne aur Chaaiyan door karne wali careems mein iska istemal kafi ziyada hei. Isi waja se bain al aqwami cosmetics ki market mein Talkh qism ki maang bohat ziyada hei. 

Taraqqi yafta mumalik mein Talkh aur Sheereen iqsam ko alag alag khaiton mein kaasht kiya jata hei. Taake yeh aapus mein mil na jayen. Chunke hamare haan aisa nahi kiya jata, isi waja se yahan har chothi ya panchwi giri talkh nikal aati hei.
Benefits of Badam yahee par khatam nahi ho jaate. Agar aap log kuch aur bhi fayde jaante hein to comments mein beyan zoroor kejiye.

Benefits of Badam Khane Ke Fayde in Hindi Urdu

Wednesday, April 19, 2017

Anjeer Ke Fayde Bawaseer me istemal ka tarika

Anjeer Ke Fayde-Benefits of figs in hindi Urdu
Anjeer Ke Fayde jaan-ne ke liye yeh mukammal article parhiye. Yeh Jannnat ka phal hei. Tamam dunya mein aur khas tor par Arab mumalik mein is ko behad pasand kiya jata hei.

Anjeer 2 qism ki hoti hei, aik Jungli aur doosri kaasht ki hui. Yeh drakht saal mein 2 baar phal deta hei.


Aik aisa naazuk phal, jis ko khushk kiye bagheir use karna aasaan nahi. Hamare haan is ko khushk karne ke baad dori mein pro kar sale kiya jata hei.

Taaza aur Khushk Anjeer ke ghizayi ajza


Anjeer mein Potassium, Protein, Calcium, Iron, Phosphorus ke ilawa vitamin A aur C kaafi miqdar mein maujood hote hein. Vitamn B aur D ki bhi kuch miqdar payi jati hei.

Anjeer mein paani ki kaafi miqdar payi jaati hei. Jabke is mein Proteins aur Fats ki miqdar bohat kam hoti hei. Khushk Anjeer ki afadiyat taaza phal ki nisbat ziyada hoti hei. Iska ehem tareen ghizayi juz Sugar hei, jo ke is mein 51 se 64% tak payi jaati hei.


 Taaza Anjeer 100 Gram  Khushk Anjeer 100 Gram
 Paani  88.1%  23%
Protein  1.3%  4.3%
 Fats  0.2%  1.3%
 Carbohydrates  7.6%  63.4%
 Fiber  2.2%  5.6%
 Maadniyat  0.2%  2.4%

Anjeer Ke Fayde, Benefits of figs in hindi


Anjeer Ke Fayde beshumar hein. Mizaj ke lehaz se Anjeer Garm aur Tar hoti hei. Is ki behtreen qism safaid hoti hei. Yeh dawa bhi hei aur ghiza bhi. Behtar hei ke is ko rozana kisi aik waqt par khane ka mamool bana liya jaye.

Anjeer kamzor logon ke liye anmol naimat hei. Jism ko farba aur khoobsurat bananay ke ilawa face ko surkh o sufaid bana sakti hei. Yeh tabiyat ko narm karti hei, isko khaane se zehni aur jismani thakaan door ho jaati hei.

Gurdon aur Masaane ko saaf karti hei. Is ke chand daane khoob chaba chaba kar khayen to Baadipan, Pait ke keerde khatam karne ke ilawa Saans aur Khoon ke kai Amraaz se nijat mil jati hei.

Aam jismani kamzori aur bukhar ki halat mein is ka istemal mufeed saabit hota hei. Bukhar ki halat mein jab munh bar bar khushk ho jata ho to is ka goda munh mein rakhne se bohat fayda hota hei.


Anjeer ko nihar munh khana sab se ziyada faydamand hota hei. Agar is ko Badam aur Akhrot ke sath mila kar istemal kiya jaye to yeh khatarnak zeher se bhi aap ki hifazat kar sakti hei. Khoon mein se zehrile mawad ko khatam kar ke khoon ke surkh zarrat mein izafa karti hei.

Anjeer kisi bhi qism ki Pathri peda hone nahi deti. Yeh Gurdon, Masanay aur Pitte mein se pathri ko tehleel kar ke nikal deti hei. Is maqsad ke liye nihar munh rozana iske chand daane Kalwanji ke tail ya sirf Kalwanji ke saath khana chahiye.

High Blood pressure ke mareezon ke liye bhi yeh aik naimat hei. Is ko musalsal khane se Khoon ka gaarha pan khatam ho jata hei aur Khoon naaliyon mein jamta nahi.

Dimaghi kamzori ke mareez agar rozana subah Naashte mein 7 daane Badam aur aik Akhrot ke saath 3 ya 4 Daane Anjeer ke khaa liya karein to unki yeh shikayat door ho jaye gi.

Anjeer ko doodh mein paka ker Phinsi, Phordon par lagane se woh jald phat jaate hein.

Anjeer khushk ho ya taaza, dono soorto mein Julaab aawar hei. Iske baareek beejo mein Aanton ko saaf aur mutaharrik rakhne ki taaseer payi jaati hei. Dayemi Qabz door karne ke liye Anjeer ko pani mein bhigo ker kuch hours ke liye rakh dein. Jab woh phool jayen to din mein 2 bar nosh karein.

Agar is ko raat bhar pani mein bhigo kar rakhein to subha ko yeh phool jaye gi. Ab is ko khaya jaye to Gala band ho jana ya baith jana jaise amraz ka shaafi ilaj hei.

Sardi ke mausam mein Khushk Anjeer bachon ki nashonuma ke liye behad faydamand hei.

Is ka regular istemal Qulanj ke marz se mehfooz rakhta hei.

Mardana kamzori ki soorat mein isko doosre dry fruits jaise Badam aur Khajoor ke saath saath Makhan ko bhi mila kar istemal kiya jaye to Mardana kamzori yaqeeni taur par door ho jaati hei.

Anjeer ke kuch aur fawaid


Khansi, Balgham aur Dama ke marz mein bhi mufeed hei. Iske khaane se Balgham ka ikhraaj barh jaata hei jis se mareez ko afaaqa hota hei.

Yeh qabil e hazam phal fuzlaat ko kharij karta hei. Jigar aur Tilli ke sadon ko kholta hei. Is ka baqayda istemal Munh ki badboo ko bhi khatam karta hei.

Is shandar phal ke chand daane daily khane se kamar ka dard khatam ho jata hei. Jabke is ko Akhrot ke sath khane se Faalij ka khatra tal jata hei.

Anjeer ko aik hafta ke liye Sirka mein daal kar rakh dein. Ab khana khane ke bad 2 ya 3 daane khane se Tilli ka wurm door ho jata hei.

Anjeer ko bhigo kar khaane se yeh zood hazam ho jaati hei. Albatta jis paani mein bhigoya jaye woh paani bhi pee lena chahiye kiunke iske bohat se ajza paani mein shaamil ho jaate hein.

Bawaseer mein Anjeer ke istemal ka tarika


Anjeer Bawaseer ke liye akseer hei. Is ko rozana khane se purani se purani Bawaseer bhi khatam ho jati hei.

Agar Bawaseer mein dard ziyada hota ho, to iske liye har roz subah khaali pait 5 daane Anjeer ke khaane ke ilawa iske saath aik glass paani mein 1 chamcha Shehed mila kar pee liya kejiye. Is amal ko mamool bana liya jaye to ALLAH ke karam se chand hi mahino mein Bawaseer ke masse khushk ho jayen ge. Yeh amal Khooni Bawaseer waale mareezo ke liye bhi fayda mand hei.

Agar mareez ko badhazmi ziyada hoti ho to khana khane se aadha ghenta pehle 3 daane Anjeer ke khilaiye. Aur agar mayde mein bojh sa mehsoos hota ho to khana kha lene ke baad 3 daane Anjeer kha lena chahiye.

Anjeer ke Fayde aap ko dawat dete hein ke aap is aala phal ko apni rozmarra ghiza ka lazmi hissa banayen.

Anjeer Ke Fayde-Benefits of figs in hindi Urdu