Achi Neend Lene Ka Fun ya Behtreen Tarika Janiye in Hindi Urdu


Achi Neend Lene Ka Fun in Hindi Urdu
Achi neend ALLAH taala ki bohat bari nemat hei. Iski kami se Dimagh susti ka shikar ho jaata hei aur kaam karne ki salahiyat mutasir hoti hei.

Agar neend ki kami musalsal jaari rahe to insan bohat saare jismani aur Zehni masayil ka shikar ho sakta hei. Jabke raat ki mukammal neend lene se Jism aur Dimagh ko sakoon milta hei. Aur insan roz marah ke kaam karne ke qabil ho jaata hei.

Achi Neend Lene Ka Fun in Hindi Urdu

Gehri Neend aankho ki thakawat door kar ke unko tar o taza rakhti hei. Neend puri na hone se aankho ko bohat nuqsan hota hei. Raat ko jaldi sona aur Subha sawere uthna, insan ko tandrust banaye rakhta hei.

Raat bhar ki puri Neend aur mukammal aaram ki is tadbeer se Dimagh aur Aasaab ko woh taaqat muyassar aati hei. Jo phir se din bhar ke masayil, mushkilaat aur takleef deh haalaat se muqabla karne ki salahiyat peda kar deti hei. Lehaza har insan ko is sunehre asool "Jald sona aur Subha sawere uthna" ko apnana chahiye.

Achi neend lene ke liye kya kiya jaye


Aksar logon ko mukhtalif wajuhaat ki bina par Neend nahi aati. Isliye zaroori hei ke un asbaab ka pata lagwa kar unko door kiya jaye. Jinse Neend mein khalal peda hota hei. Maslan tafikraat aur gham o ghussa se chunke Dimagh mein khoon munjamid ho jaata hei. Isliye in kefiyaat mein Neend be intaha mutasir hoti hei.


Lehaza iska khayal rakhna chahiye ke sote waqt Dimagh tamam qism ki uljhano se aazad ho. Iski tadbeer yeh hei ke sote waqt aaram deh bister par haath pair phela kar khaali zehen ke saath letaa jaye. Is surat mein meethi aur gehri Neend haasil ho sake gi.

Iske ilawa yeh bhi khayal rakhiye ke roshni ki koi kiran sone waale ki aankho par na pare. Warna khoon ka bahao Dimagh ki taraf barh jaye ga. Aur aasabi nizam mein harkat peda ho jaye gi. Jis se neend khasi mutasir ho jaye gi.

Achi Neend Lene Ka Fun The Art of Sleeping


Achi Neend Lene Ka Fun in Hindi Urdu
Apni be aitdaliyon ki waja se insan ne neend jesi nemat ko apne liye museebat bana rakha hei. Dr. Hamza Al Hamzawi ne apne lecture The Art of Sleeping, yani neend lene ka Fun mein achi neend lene ke liye apni research ke mutabiq kuch tarike bataye hein. Jinke mutabiq:

Isha ke baad raat 9 se 12 baje tak sona: In auqaat ke doraan sona sab se ziyada fayda mand hei. Aik insan apni neend ka 80% hissa in auqaat mein pura kar sakta hei. Kiunke in auqaat mein neend ke liye barkat hei, so is waqt ki neend ka matlab: Aik Hour ki neend = Teen hour ki neend.

Is waqt ke doran Dimagh ka Gland aik harmon peda karta hei. Jo hamein achi neend lene mein madad deta hei. Yeh sirf usi soorat mein peda hota hei agar:

1. Sone ke doran kamre mein andhera ho. 
2. Agar neend nahi aa rahi tab bhi insan sakoon se lait jaye.


Raat 12 baje se 2 baje tak sona:  In auqaat ke doraan sone se insan ki 20% gehri neend puri ho jaati hei. Iske baad ka sona achi neend ke liye fayda mand nahi. Kiunke insan apni 100% neend puri kar chuka hota hei. In auqaat mein sone ka matlab:  1 Hour ki neend = 1 Hour ki neend

2 baje se 5 baje tak yani Fajar se pehle ke auqaat: Yeh waqt kuch yaad karne ke liye behtreen hei. ALLAH ko yaad karne ke liye, Zikar aur Astaghfaar karne ke liye, yaa zehni irtakaz aur Muraqba karne ke liye.

Fajar ki namaz se Suraj nikalne tak sona:  In auqaat mein Dimagh aik doosra harmon khaarij karta hei. Yeh Harmon in auqaat mein sirf isi soorat mein khaarij hota hei jab:

1. Insan jaag raha ho.  
2. Roshni ke saath halki phulki warzish bhi ho.

Yeh waqt hei Zikar o Azkaar ka, ghor o fikar karne aur din ko hone waale kaamon ki mansooba bandi karne ka.

Din ko sona (Fajar ke baad): Yeh bilkul bhi fayda mand nahi.  In auqat mein sone ka matlab: Teen Hour ki neend = Aik Hour ki Neend

Is waqt sone mein koi barkat nahi. Balke yeh saara din kaahili, susti aur tawajja mein kami ka bayis banta hei.

Achi neend ke liye kuch mazeed info


Insani Dimagh mein Harmons ka khaarij hona 40 saal ki umar ke baad kam hota jaata hei. Aur 50 saal ki umar mein yeh ikhraaj ruk jaata hei. Is waqt insan ka jism us harmon ko hi use karta hei. Jo guzishta saalon mein jism main jama hua tha.

Ab agar koi insan Alzhimer aur Schizophrenia jaise Dimaghi amraaz ka shikaar hota hei. To iska matlab yeh hei ke woh zindagi bhar der se soya karta tha.

Agar aap Dr. Hamza ke bataye hue is tarike se achi neend haasil karne ki aadat daal lein. To aapko kabhi bhi neend ki kami ka saamna nahi karna pare ga.

Post a Comment

Previous Post Next Post