Monday, October 15, 2018

Kalonji Benefits ya Kalwanji ke Fayde aur Istemal

Kalonji Benefits ya Kalwanji ke Fayde aur Istemal

Kalonji benefits ya Kalwanji ke Fayde jan-ne keliye yeh post mukammal parhiye. Yeh kala dana ALLAH taala ki aik bohat bari naimat hei. Irshad e Nabwi hei:

" In kaale daano ko khud par lazim karlo kyunke in mein siwaye maut ke har marz keliye shifa hei".

Yeh ghas ki aik qism ka beej hota hei. Daikhne mein bilkul Piaz ke beejo se milta julta hei. Taizi se asar dikhane waale chote chote se yeh beej apne andar be inteha tibbi fawaid rakhte hein. Jadeed researches se pata chalta hei ke is mein maujood anasir kuch aise fawaid pohanchate hein, jo kisi aur cheez se hasil hona mushkil hein. Jabke is mein antibiotic khasoosiat bhi payi gayi hein.

Antioxidants se bharpoor Kalonji ka mizaj garm aur khushk hota hei. Isi waja se yeh khasoosi taur par sardi ke amraz aur ratoobati yani balghami beemariyo keliye ziada mufeed hei. Jabke yeh sardi ke ilawa garmi ke amraz mein bhi mufeed hei. 

Is mein woh sab anasir badarja atam paye jate hein, jo insani jism keliye zaroori hote hein. Yeh anasir insani jism ke mizaj aur zaroorat ke ain mutabiq hote hein. Iska istemal zamana qadeem se kiya jaa raha hei. Qadeemi mualijeen isko mayday aur aanto ke amraz, dimaghi kamzori aur faalij ke ilawa bohat se doosre amraz keliye bhi istemal karate thay.

Kalwanji ke istemal mein ehtiat


Kalwanji ke baqayda istemal keliye yaad rakhiye ke isko 1 masha se 2 masha tak hi khana chahiye. Mazeed yeh ke isko lagatar lambe arse tak bhi istemal na karein. Is ki waja yeh hei ke is mein kuch aise ajza bhi paye jaate hein, jinka musalsal istemal nuqsandeh ho sakta hei. 


Baqayda istemal karne keliye zaroori hei ke aap darmian mein kuch din ka waqfa bhi dete rahein. Behtar yeh hei ke isko kisi aur cheez ke sath mila kar khaya jaye. Aam istemal ka tariqa yeh hei. Ke rozana subha khali pait, 1 chutki Kalonji ya 1 masha iska powder, 1 chamach Shehad ke sath mila kar khane ka mamool bana lein. To ALLAH ke hukam se aap beshumar amraz se bache rahein ge.

Kalonji Benefits ya Kalwanji ke Fayde


Nizame inhazam ki islah keliye Kalwanji akseer hei. Badhazmi, Gas aur khane ke baad pait mein bhari pan ya aphara ho jata ho. To pisi hui Kalonji aadhi chamchi khane ke baad istemal karne se yeh shikayat door ho jaati hei. 

Bad Cholesterol ko kam karne mein bhi behad moassir hei. Jism mein kaheen par bhi kisi bhi qism ki rukawat ho, iske baqayda istemal se door ho jaati hei. Yani yeh saddon ko khol deti hei. Jabke yeh wurmo ko bhi tehleel kar deti hei aur Giltiyo ko pighla kar khatam kar deti hei.

Kalwanji Ziabitus ke marz mein bohat mufeed hei. Iske istemal se lablabe mein insulin ki satah mein izafa ho jata hei. Jis se Ziabitus control mein rehti hei. Is maqsad keliye mareez rozana subha Kalonji ke 7 adad daane kha liya karein.


Dimaghi aur aasabi kamzori, Raasha, Faalij, Laqwa aur Hafiza ki kamzori ki surat mein, Kalwanji ki 1 chutki Shehad ke sath subha khali pait kha leni chahiye. Chand maah ke baqayda istemal se iske fayde zahir ho jayen ge.

Agar Kalwanji ko Sirkay mein ubal kar iski bhaap ko soonghein. Aur isko chhan kar iske chand qatray naak mein daalein. To is se purana nazla, sar dard aur naak ke ghadood ka wurm door karne mein bohat madad milti hei. Agar sardi ki waja se zukam ho jaye, to isko tawway par bhoon lein. Aur pees kar kisi kaprde ki thaili mein daal kar paas rakh lein. Ab isko baar baar soonghte rahein to zukam door ho jaye ga.

ALLAH ki yeh naimat paishab awar bhi hei. Paishab ki rukawat ya band hone ki surat mein iska powder aadha chaye ka chamach waqfe waqfe se istemal karaiye. Jabke Gurday ya masana mein pathri ki shikayat ho to isko pani mein josh de kar chhan lejiye. Phir is mein Shehad mila kar pilaiye.


Jabke khwateen ki Haiz ki bandish aur Mahwari ki tamam kharabiyo, maslan Nalon ka dard, kamar ka dard, badan ka tootna, Pathon ka khichao aur taango ke dard waghera mein bhi Kalwanji nehayat mufeed hei. Iske liye 5 se 10 ratti tak iska powder Shehad mein mila kar din mein 2 baar chatatay rahein to jald fayda hota hei.

Phaiphron aur hawa ki naaliyo mein sardi ki waja se Balgham jama ho kar saans ki tangi aur seene mein dard ka bayis ban jata hei. Is surat mein 3 maasha Kalonji aur 3 daane Anjeer ke lekar 1 piyali pani mein josh dekar chhan lejiye. Yeh mashroob 2 ya 3 din tak subha sham peene se ALLAH ke karam se shifa hasil ho jati hei.

Woh khwateen jo sheer khwar bacho ki maa hein. Agar unko Doodh kam aane ki shikayat ho. To unko chahiye ke Kalonji ke chand daane subha khali pait aur raat sote waqt Doodh ke sath kha liya karein. Is amal se unki yeh shikayat door ho jaye gi. Tahum, hamila khwateen ko chahiye ke woh iske istemal se guraiz karein. Kyunke is se hamal saqit hone ka khatra hota hei.


Agar face par keel muhasay hon to in kaale daano ko Sirkay mein pees kar aik paste sa bana lejiye. Aur raat ko sote waqt muhason par laip kar dejiye. Subha uth kar neem garm pani se dho lejiye. 1 hafte ke amal se muhasay khatam ho jaate hein. Neez jism par agar kaheen bhi daagh hon, to bhi iska laip fayda mand hei.

Kalwanji ko pees kar Mehendi mein mix kejiye aur phir iska laip sar par kejiye. Aadhe ghantay baad dho lejiye. Yeh amal baqaydgi se karne se baal girna band ho jaate hein.

Agar pait mein keerde hon to Kalwanji ko Sirkay ke sath mila kar khaiye, aaram aa jaye ga. Aur agar ghar mein iski dhooni di jaye, to yeh keerde makordo aur macharo ka khatima kar deti hei.

Kalonji benefits ya Kalwanji ke Fayde mukammal taur par beyan karna insan ke bas ki baat nahi.

Kalonji Benefits ya Kalwanji ke Fayde aur Istemal

Related Posts