Nimbu ke fayde ya Lemon benefits is post mein ham beyan karein gay. Nimbu tamam sabziyo aur phalo mein aik alag hi maqam rakhta hei. Khaane peene ki cheezo ka maza dobaala karne ke liye iska istemal bohat kiya jaata hei. Mausam garma mein jab loo chal rahi ho to iska istemal farhat bakhshta hei. Garmi ko bhaga kar badan mein taazgi laata hei.
Nimbu mein Vitamin C ki bhaari miqdar ke ilawa Vitamin B, Phosphorus, Calcium aur Potassium bhi paye jaate hein. Iski bohat si iqsam hein jin mein se Kaaghzi Nimbu ko behtreen samjha jaata hei. Kyunke iska chhilka mota nahi hota jabke is mein rus bhi ziyada hota hei.
Lemo ya Nimbu ke fayde
Lemo ya Nimbu ka rus intehayi mufeed hota hei. Yeh hamari quwat-e-mudafiat ko barhata hei. Isko baqaydgi se use karne waale log beemar hone se bache rehte hein. Kyunke is mein bohat se amraaz ka muqabla karne ki salahiyat payi jaati hei.
Nimbu ya Lemo khoon ko naa sirf saaf karta hei, balke isko patla bhi karta hei. Jis se khoon mein cholesterol ka balance qayim rakhne mein madad milti hei. Jabke yeh khoon ke khulyo mein Oxygen ki supply ko bhi barhata hei. Yun dil ko taqwiyat milti hei, jabke yeh khoon ki hiddat mein bhi kami laata hei.
Jigar ki tamam kharabiyo mein bhi iska istemal karna mufeed hei. Rozana subha naashta se pehle aadha glass Pani mein 1 lemo ka rus mila kar pee liya kejiye. Is amal se bohat sust Jigar bhi sahi kaam karne lagta hei.
Mayda ke Amraaz keliye yeh aik umda dawa hei. Tezaabi maado ko khatam karta hei. Matli aur Ulti ki kefiyat mein isko namak laga kar chaata jaye, to fayda hota hei. Seene ki jalan, Haath Paaoo ka jalna, Kamar ka dard aur Paishab mein Tezabiyat ya Uric Acid keliye bhi Lemo ka istemal mufeed hei. Mayday ke wurm ko bhi door karta hei. Agar aap Nimbu ya Lemo ke istemal ko apna mamool bana lein to aap kabhi bhi Pait ya Mayday ke amraaz ka shikar nahi hon gay.
Galay ke amraaz mein Lemo ka istemal nehayat mufeed hei. Iska rus brabar miqdar mein Shehad ke saath mila kar chaatne se takleef door ho jaati hei.
Nimbu ka chhilka bhi bohat kaaramad hota hei. Is mein se aik tail nikalta hei jo paani ko khushbudar karta hei. Jabke yeh tail pait ki takaleef ke liye mufeed hota hei. Is chhilke ke rus ko medicines ki tayyari mein bhi use kiya jaata hei.
Nimbu ke fayde ya Lemon benefits ka yeh mazmoon ham is tajweez ke sath khatam karte hein. Aap rozana subha khaali pait 1 glass neem garam paani mein 1 Lemo ka rus mila kar peene ka mamool bana lein. Is amal ke results aapko hairan kar dein gay.
Post a Comment